Ek Tarfa Ishq Part 15 | Thakurain Ki Narazgi Aur Suraj-Seeta Ka Romantic Safar | Royal Haveli Story

Cupid’s Compass
15 followers
AI Generated·May contain errors
Video Summary
AI GeneratedThe video depicts the domestic dynamics and romantic tension within a wealthy household, focusing on the relationship between Suraj and Sita. While Suraj's mother expresses disapproval and high expectations for Sita as the future daughter-in-law of the haveli, Suraj remains supportive and affectionate toward her. The narrative blends moments of lighthearted romance with underlying family friction and hints of external conflict.
Sita, idhar aao.
Ji, maa ji.
Kya zarurat thi shaadi mein jaane ki?
Tum khud Suraj ko mana kar sakti thi.
Tumhe andaaza bhi hai?
Tumhare liye Suraj kitni baar hamare saamne khada hua hai.
Humne kabhi unse aapke khilaab jaane ko nahi kaha.
Yehi to baat hai.
Tumhe kehna bhi nahi padta.
Ab jaldi ghar jaane mein apna hi maza hai.
Meeting mein bhi aaj man nahi lag raha tha.
Chalo, call karke poochta hu.
Maa ji na jaane mere baare mein kya kya sochti rehti hain.
Main to kabhi nahi chahungi
ki meri wajah se unke aur Suraj ke beech kuch galat ho.
Aapko kya zarurat thi Suraj ko shaadi mein bulane ki?
Malkin, beti ki shaadi hai.
Socha chote malik bhi aajayen to achcha lagega.
Ab tum gaon jao.
Yaha kya kar rahi ho?
Shaadi ka kharcha hamari taraf se hai.
Tum bas beti ki shaadi achche se karo.
Kuch saamaan rakha hai.
Wo bhi saath le jaana.
Aam ki petiya bhi hain. Wo bhi le jaana.
Aur haan, Suraj ko wahan kisi cheez ki takleef nahi honi chahiye.
Ji, Malkin. Aap chinta mat kiji.
Sita, phone kyon nahi utha rahi hai?
Kahin vyast to nahi hai?
Pata nahi kahaan rehti hain.
Chalo, kisi aur se hi pooch lete hain.
Dekha tumne?
Chote malik ne mana liya.
Thakur aayen ko.
Haan, sahi kaha aapne.
Kaash mujhe bhi koi milta.
Maa ne Sita se koi baat ki thi?
Kisi baare mein?
Zee hain, jabse aap gaye hain.
Lekh!
Itna cheekhne ki kya zarurat thi?
Chote malik, main dar gayi thi.
Mujhe kuch nahi hua.
Lekin haan, tumhare cheekhne se kuch zarur ho jata.
Sachme, chote malik, main dar gayi thi.
Kya kar rahi ho tum?
Kuch nahi, chote malkin.
Yaha ki safai kar rahe the bas.
Jab bhi hum dekhte hain, tum dono yahi lagi rehti ho.
Vaise unke aate hi kaise dar gayi tum?
Aisa kuch nahi.
Main unki izzat karti ho.
Acha, izzat karti ho?
Jabse shaadi hui hain na,
malik roz ghar aate hain.
Tujhe toh saari khabar rehti hain.
Dekha tumne?
Kitne sundar hain, chote malik.
Mera bas chale toh main inhe dekhti hi rahun.
Bas kar, rehne de.
Kabhi koi sun le.
Khud toh fasegi, mujhe bhi phaswaegi.
Ek kaam karo.
Humare liye paani lekar aana.
Ji, chote malik.
Abhi lekar aati hun.
Ab jaakar chayan ki saans aayi.
Har baat pe tokti rehti thi.
Ab dekhna.
Aaj haveli mein meri chalegi.
Kya hua?
Kise dhoond rahe ho?
Kisi ko nahi, maa.
Bas aise hi dekh raha tha.
Hume toh lagta hai,
Sita ko dhoond rahe ho.
Aap bhi na, maa.
Kuch bhi sochti rehti hain.
Shaadi mein kab jaa rahe ho?
Kal chale jaayenge, maa.
Sita ko achhe se shopping kara laana.
Is haveli ki bahu hai,
toh achhi lagni chahiye.
Chal bata,
aaj haveli mein kya chal raha hai?
Tujhe har baat ki khabar chahiye.
Kaam se zyada,
khabar mein maza nahi.
Chup kar,
koi sun lega.
Are sunne de.
Yaha bhi nahi hai.
Mata nahi kahaan rehti hai.
Waise toh shaadi mein jaane ke liye
itna bol rahi thi.
Kabhi call,
kabhi kuch.
Aap gaaya bhi ho gayi.
Kahin neeche toh nahi hai.
Lekin mai abhi toh
neeche se aaya hu.
Yeh zyada pakad na.
Chalo,
dekhta hu.
Suno,
idhar aana.
Ji, chote maalik.
Tumne Sita ko dekha hai?
Wo kaha hai?
Ji, chote maalik.
Purane dressing.
Achha, theek hai.
Itni der se hum aapko dhund rahe the
aur aap yaha kya kar rahi hai?
Khaana bana rahi hu.
Jaisa ki aapko dikha raha hoga.
Kyun, koi kaam tha?
Aap seedha jawab bhi desakti thi.
Aa gayi kaki.
Aau, betho.
Yeh aam bhi bheje hai.
Kaki,
itna saara saamaan?
Aur yeh shaadi ke kaam aayenge.
Kaki,
iski kya zarurat thi?
Maa,
aagayi aap?
Mai kapse aapka intazaar kar rahi thi.
Haan beti,
aagayi.
Chalo,
achha hai.
Aap shaadi ki tayari
saathme karenge.
Sabji jaldi kaat lein,
bhai.
Haan bhai,
dho raha hu.
Poori bhi laga de,
phir talna shuru kar denge.
Agar aapka khaana
ban gaya ho,
toh aapko yaad hoga.
Shopping pe chalna hai.
Mujhe nahi jaana
shopping pe.
Itna kuch toh hai mere paas,
aur kitna kharideyenge?
Aapko har baar yehi lagta hai
ki aapke paas sab kuch hai.
Kyunki sachme hai.
Achha,
phir chal kar dekh lete hain.
Kuch pasand aaya
toh le lenge.
Theek hai,
aap jayiye.
Hum thodi der me aate hain,
abhi thoda kaam baaki hai.
Itne mehenge?
Kuch kam karo.
Isse kam nahi hoga.
Toh rehne do,
mere paas itne hi hai.
Achha chaliye,
itna de dijiye.
Itne bhi nahi hai mere paas.
Jitne hai,
utne meh dena hai toh do.
Suraj ji!
Kya hua, Sita?
Aachanak itni zor se kyun chillayi?
Udhar dekhiye,
bed ke paas dekhiye na.
Hume toh kuch nahi dikh raha.
Sahi se dekhiye na.
Maine wahi jaate hue dekha.
Yaha toh kuch bhi nahi hai.
Tha,
yahi tha.
Mere pair ke paas aaya tha.
Paar ke paas kya aaya tha?
Wo toh bataiye?
Cockroach tha.
Aap dardti bhi hai,
ye baat hume aaj pata chali.
Ji nahi,
hum nahi dardte.
Wo aapke paas aaya tha,
hume laga aap dard jayenge,
is wajah se zor se bol diya.
Toh matlab,
hume bachane ke liye chillayi?
Ji,
aapko kuch ho jata toh?
Hume toh kuch hua hi nahi.
Wo isliye,
kyunki hum samay par chilladiye.
Bohot bahadur hai aap.
Cockroach.
Kaha hai, Suraj ji?
Bataiye na,
kaha hai?
Acha, theek hai,
le jayiye.
Pehle hi maan jaate,
itna bhaav kyun khaate ho?
Aapko de diya,
iska matlab ye nahi ki,
ab hum muft mein bechenge.
Achi khasi,
mast zindagi chal rahi thi.
Ab dekho,
kya halat ho gayi.
Seeta ye sab na karti,
toh aaj main aaraam se ghoom raha hota.
Kaha hai, Cockroach?
Hume kya pata?
Toh phir naam kyu liya aapne?
Bas aapka bahadur chehra dekhna tha.
Has lijiye aap,
hume bilkul acha nahi laga.
Ab nahi karenge.
Ji,
yahi acha hoga aapke liye.
Acha?
Hanji,
mazaak ho gaya ho,
toh ab aap jayiye.
Theek hai.
Hume bhi file check karni hai.
Ji,
kar lijiye.
Utha lijiye,
kya pata,
koi zaruri baat ho?
Bas aise hi,
pareshan karti rahti hai.
Acha?
Waise,
kaun hai wo?
Ji,
meri ek dost hai.
Aap unhe nahi jaante.
Aapne kabhi bataya hi nahi?
Bas aise hi,
aap chhodiye na ye baat.
Change kar lijiye.
Theek hai.
Itne mein,
aap bhi apna kaam kar lijiye.
Maine Suraj ji ko,
kuch nahi bataya.
Ab unse ye baat,
chhupana bhi theek nahi lag raha.
Kahin unhe pata toh nahi chal gaya,
ki call kiski thi?
Tume gurur hai na bahut?
Bas dekhna,
ussi gurur ko ek din mein,
tootte hui dekhunga.
Aur tab tumhe samajh aayega,
Aakash ko thappad maarna,
kitni badi galti thi.
Sita,
humari belt kaha rakhi hai?
Wahin rakhi hui hai,
dekh lijiye.
Brown chahiye.
Abhi dete hain.
Yeh lijiye,
yahi toh rakhi thi.
Aap bhi na.
Hmm.
Kaki,
saare intazaam toh
chhote maalik ne dekh liye.
Thakurain ne bhi
itna kuch kar diya.
Haan beti,
humare jaise maalik milna
kismat ki baat hai.
Aap ready ho jayiye,
hume shopping ke liye jaana hai.
Theek hai,
hum ready ho kar aate hain.
Aur hume bhi
aapse ek baat karni hai.
Theek hai,
aap aa jayiye.
Ishq hai,
jo chhup rahe kar bhi,
sab keh jaata hai.
Ishq hai,
jo toot kar bhi,
dil mein rahe jaata hai.
Tum maa kabhi na maano.
Sooraj ji,
intazaar kar rahe honge.
Humne bhi,
tayyaar hone mein
bahot der kar di.
Aap toh chalna hi jayiye.
Pata nahi,
kahaan reh gayi Sita.
Itni der se
intazaar kar rahe hoon.
Aap tak nahi aayi.
Tum saamne ho,
fir bhi door.
Meri har raaham,
bas tum hi tum ho.
Teri saanson mein
aisi hai ravani,
jaise rooh ki ho
koi kahani.
Mera ishq
sufiyana,
dil hu aate.
Pata nahi,
Sooraj ko aaj kal
kya ho gaya hai.
Har baat mein,
Sita ko apne saath
rakhna zaruri samajhta hai.
Socha tha,
gareeb ghar ke liye
ladki hai,
toh haveli ke taur
tareeke jaldi samajh jayegi.
Lekin,
Sita ke toh
shoak hi alag hai.
Ghar basana sirf
is haveli mein
reh lene se nahi hota.
Uske liye,
ghar ke rang-dhang
bhi samajhne padte hai.
Aapko hamari wajah se
kaafi intazaar karna pada na?
Nahi,
itna bhi nahi.
Kaafi der laga di humne.
Koi baat nahi,
ho jaata hai.
Zara dheere chalayiye.
Ab theek hai
ya aur dheere chalayen.
Ab humne itna dheere
bhi nahi kaha tha.
Kahaan gaye hain dono?
Shopping karne gaye hain.
Achcha,
sahi hai.
Yehi toh umr hai
ghoomne phirne ki.
Kabhi aap bhi
Sooraj se baat karke
usse samjha diya karein.
Hamesha mujhe hi
baat karni padti hai.
Wo mujhe galat samajhta hai.
Jaise main
har baat par
rok-tok karti hu.
Pehle aap apne liye dekh lijiye.
Aapke paas bhi toh nahi hai.
Haan, pehle apna hi dekh lete.
Aap hi pasand kar dijiyega
hame toh samajh nahi aata.
Dekhiye Sita,
yeh kaisa hai?
Achcha hai,
lekin aap har baar
black hi kyu lete hain?
Toh yeh wala dekhiye,
yeh kaisa hai?
Black ke alawa bhi rang hote hain.
Are ho Rama,
bada chanchal ba.
Aaj tab bada maza aara hai.
Oh bhai,
yeh toh kharab ho gaya.
Thakurain ko batana padega.
Varna bolengi,
jab kharab hua,
tab bataya kyu nahi.
Are,
itni jaldi-jaldi
kaha ja rahe ho?
Fawwara kharab ho gaya hai.
Achcha,
kab se?
Abhi dekha,
humne paani bilkul band hai.
Fawwara toh chal raha hai.
Jhoot kyu bol rahe ho?
Paagal hai kya?
Ek hi fawwara toh nahi hai
iss haveli mein.
Main doosre wale ki
baat kar rahe ho.
Chalo,
pehle Thakurain ko
bata dete hain.
Kya hua, Sita?
Wo,
zip,
zip patak gayi.
Hum,
madad kar de?
Aap rehne dijiye,
kisi staff ko bhej dijiye.
Theek hai,
aap chinta mat kijiye.
Main abhi bhejta hu.
Sir,
koi madad chahiye?
Nahi,
paani chahiye tha.
Ji sir.
Kabhi aap bhi
Sooraj se baat karke,
usse samjha diya kar,
mujhe hi baat karni padti hai
aur mujhe galat samajh leta hai.
Wo tumhe galat nahi samajhta.
Bas usse lagta hai,
tum uski zyada chinta karti ho.
Abhi tak nahi hua?
Nahi.
Abhi staff busy hai.
Laiye, hum kar dete hain.
Ho gaya.
Kya hua?
Itni jaldi mein kyun chali aa rahi ho?
Thakurain,
wo bahar ka fawwara na
kharab ho gaya hai.
Haan, theek hai,
tum jao.
Aur suno,
doosri wali ko bhi bhej dena.
Ek minute,
hume apne viewers se
kuch kehna hai.
Haan,
hume bhi kehna hai.
Video accha laga ho to,
like aur subscribe
zarur kariye ga.
Aur aesi hi kahaniyon ke liye,
Openverse Studio ko
subscribe karna mat bhuliyega.
