Lecture 09 : Nan-ji desu ka?

IIT Kanpur July 201
20 followers
1 Video View·Dec 1, 2023
Minna-san, konnichiwa, namaskar, toh aap log sab tayyaar hai aaj Japani seekhne ke liye?
Chaliye, toh aaj ki hamari Japani bhaasha ek parichay ki navi class me aapka swagat
hai sabka.
Aap logon ko hum abhi tak kaafi cheezein bata chuke hain.
Aap logon ke pichli class me hum logon ne mooliy jaana tha ki kaise mooliy poocha jaata
hai, kaise price poochi jaati hai kisi vastu ki aur kaise dukaan pe expressions use kiye
jaate hai jisse pata chale ki aap ye samaan kharidna jaate hai.
Isi ke saath saath hum logon ne kono, sono, ano ye bhi kiya tha.
Kis prakaar se iska prayog hota hai?
Kuch nai kanji hum logon ne seekhi thi.
Kuch nai shabd seekhe the kanji ke saath.
Toh usi ko aur hum aage badhate hain aur aaye aaj jaante hain ki hum log naya kya karenge.
Toh aaj hum log apni kaksha me samay seekhenge ki Japani bhaasha me samay kaise bataya jaata
hai?
Nan ji desu ka?
Aap dekhiye yaha par aapke saamne likha hai ichi-ji yaani ki samay ke baadh counter-ji
ka prayog kiya jaata hai.
Ni-ji, san-ji, yo-ji, go-ji, roku-ji, shichi-ji, hachi-ji, ku-ji, juu-ji, juu-ichi-ji, juu-ni-ji.
Toh yaha aapko dhyan me ye rakhna hai ki chaar baje ke liye yon ke baje yo ka prayog
hota hai.
Toh yo-ji.
Isi prakaar se saath baje ke liye nana ke baje shichi ka prayog kiya jaata hai.
Aage ek aur hai ku-ji.
Kyuu ke baje, jo aapne pehle kiya hai, kyuu ke baje ku ka prayog kiya jaata hai.
Ku-ji.
Ye dhyan me rakhna bohot zaroori hai.
Yaha par bhi likha hai dekhiye chaar baje, saath baje aur nau baje ke liye yo-ji, shichi-ji
aur ku-ji ka prayog kiya jaata hai.
Toh ab aap abhyaas kar sakte hai.
Ek chota sa kaiva hai.
Ima nan-ji desu ka?
Nan aapne pehle kiya hai aur ji jo hai, ye counter hai aur ye aap isi prakaar se samay
puth sakte hai.
Ima, ima yaani is samay.
Ima nan-ji desu ka?
Ima juu-ichi-ji desu.
Jo bhi samay ho, wo samay aap bata sakte hai.
Aur domo arigatou kaha jaata hai.
Dhanyavad.
Ima ka arth hai abhi, jaisa bhi amne aapko bataya.
Is samay.
Now.
Angrezi mein kahenge now.
Toh ab aapke saamne ghadi hai.
Isme 6 bajra hai.
Bataiye aap kya kahenge?
Agar hum aapse sawal puchhe ima nan-ji desu ka?
Toh aap jawab kaise denge?
Ima roku-ji desu.
Ek baar aur abhyaas kariye.
Is samay saat bajra hai.
Toh ima nan-ji desu ka?
Ima shichi-ji desu.
Ek baar dobara se.
Ima nan-ji desu ka?
Ima aapko bataya tha abhi.
Ye exception hai.
Ima yo-ji desu.
Ima nan-ji desu ka?
Ima go-ji desu.
Toh dhyan rakhne wali baat ye hai ki hour ke baad ghante ke baad ji ka prayog kiya jata
hai.
Isko dhyan me rakhna hai.
Ab dekhiye aap abhyaas kar sakte hai.
Is samay ek bajra hai.
Ima ichi-ji desu.
Ni-ji desu.
Bataiye kya hai?
San-ji desu.
Ye kya hai?
Ima go-ji desu.
Ima roku-ji desu.
Ima shichi-ji desu.
Ima hachi-ji desu.
Ima ku-ji desu.
Ima juu-ji desu.
Ima juu-ichi-ji desu.
Ima juu-ni-ji desu.
Ye ji ki kanji hai.
Jaisa ki aapko dikh raha hai.
Isse aapka kanji ka bhi abhyaas ho jayega.
Aapko kanji bhi yaad ho jayegi.
Ji ke baare mein aap padh sakte hai.
Jaisa ki abhi aapko bataye, ji ka prayog hamesha ek se baara tak ghinti ke baad kiya
jata hai.
Sabse mazedaar baat ye hai, interesting baat ye hai ki, ji bana kaise?
Ye jo itni mushkil si kanji hai, ye ji ki aayi kahaan se?
To dekhiye, ismein ek to hai nichi, jo aapne pehle kiya hua hai aur ek hai tera, yaani
ki mandir.
To mandir mein, otera mein, roz ek samay par ghanta bachta hai.
Isliye, jo time hai, wo din aur mandir ki kanji mila kar banaye gaya hai.
Jo stroke order hai, wo is prakaar hai.
Dekhiye, ek, do, teen, chaar, paanch, chhe, saath.
Ye do yo bhi hai aur aath, nau aur das.
To ek baar phir bana den aapke liye, ye ji ki kanji hai.
Otera mein, mandir mein, ek samay par roz ghanta bachta hai.
Isliye, in dono ko mila kar ye kanji banaye gaya hai.
Abhyas kar liye ji ka.
Sumimasen.
Imanan ji desu ka?
Agar aapko kisi se samay puchna hai, to aap kis prakaar puchenge?
Unse sumimasen kahe kar ke, excuse me, dhyan apni taraf laane ke liye.
To jawab hai, hachi ji desu.
Ab imanan ji desu ka?
To dekhiye, jawab hi haan likha hai, ima shichi ji desu.
Aap aise apne dost se sawal kariye aur unse jawab paayiye.
Imanan ji desu ka?
Imaku ji desu.
Ye jitna bhi abhyas hai, ye sab aap zor se kariye.
Isse ki Japani shabd jo hain, wo aapko samajh mein aaye, aap sahi bol rahe hain ya galat
bol rahe hain aur doosri baat unki adat par jaye bolne ki.
Imanan ji desu ka?
Batayiye ye ghari dekh karke imanan ji desu ka?
To ima san ji desu.
Is prakaar aap chota sa ek kaiva kar sakte hain.
Ab yaha par hum janenge, abhi tak to aapne dekha, seedha samay pucha.
Lekin, ab agar savere hai, shaam hai to hum kaise batayenge?
Hum gozen ya gogo se batayenge.
Gozen, go-zen yaani ki am aur go-go yaani ki pm.
To isse hum batayenge, sumimasen imanan ji desu ka?
Ima gozen hachi ji desu.
Ab yaha par ek cheez dhyan rakhne wali ye hai ki ji to aapne time ke baad lagaya, number
ke baad lagaya.
Lekin, gozen jo hai wo aap pehle lagayenge.
Ye bohot zyada dhyan me rakhna hai.
Angrezi mein oota hota hai.
Japani mein pehle lagaya jata hai.
Dekhiye imanan ji desu ka?
Ima gozen roku ji desu.
Phir se ek baar abhyas kariye imanan ji desu ka?
Ima go-go ku ji desu.
Ab aap batayiye kya samay ho raha hai?
Ghadi mein aath baj rahe hai.
To kaise batayenge aap?
Ab aap ya to savere batasakte hai ya shaam ko batasakte hai.
To gozen bhi ho sakta hai aur go-go bhi ho sakta hai.
Ima gozen hachi ji desu ya ima go-go hachi ji desu.
To dono me se jo bhi aapko jawab dena ho wo aap batasakte hai.
Abhi aapne kiya sumimasen imanan ji desu ka?
Ima gozen hachi ji desu.
Lekin agar saadhe aath baj rahe hai to aap kya kahenge?
To uske liye shabd hai haan.
Haan mane aadha.
Kisi bhi cheez ka aadha.
Usko haan kehte hai.
To ab yaha pe kya samay hai?
Dekhiye saadhe saad baj rahe hai.
To saad tak to aapne kiya hai.
Ima shichi ji desu.
Lekin ye kaise bolenge?
Imanan ji desu ka?
Aur iska jawab kya hai?
Iska jawab hai ima gozen shichi ji haan desu.
To haan jo hai, wo time ke baad me prayog me aayega.
Aur ek aur cheez dhyan me rakhne wali bohot zaruri hai.
Wo ye hai ki aap isko ima shichi haan ji nahi kahenge.
Aap shichi ji haan kahenge.
Ye dhyan rakhiye ga shichi, shichi haan ji nahi kaha jayega, shichi ji haan kaha jayega.
Iska dhyan rakhna bohot zaruri hai.
To ima imanan ji desu ka?
Ima gozen shichi ji haan desu.
Go-go bhi kaha ja sakta hai.
Ab yaha deru baj rahe hain.
Kya kahenge aap?
Imanan ji desu ka?
Ima go-go ichi ji haan desu.
Yaha pe kya samay ho raha hai?
Yaha pe saare bara baj rahe hain.
To aap kya kahenge?
Imanan ji desu ka?
Ima go-go juu-ni-ji haan desu.
Juu-ni-ji haan desu.
To iss prakaar se aap haan ka bhi abhyaas kar sakte hain.
Abhi tak to aapne saada samay poochha ki iss samay kya ho raha hai?
Lekin aap ye bhi to jaanna chahenge ki kisi jagah par kya samay hai?
To place wa nan ji desu ka?
Yani ki aap chahen kahiye deri wa imanan ji desu ka?
Tokyo wa imanan ji desu ka?
New York wa imanan ji desu ka?
To kisi jagah ka naam le kar ke uske bare me aap poochhe ki waha par kya samay ho raha
hai?
To ye ek chota sa kaiva hai.
Dekhiye, Tokyo wa imanan ji desu ka?
Ima juu-ichi-ji desu.
Tokyo wa ima juu-ichi-ji desu.
Rondon wa imanan ji desu ka?
Rondon wa ima go-zen-ni-ji desu.
To isi tarike se bhi aap ek chota sa abhyas karne ke liye conversation kar sakte hai.
Ab ino ne poochh liya ki, Tokyo me to do baj rahe hai.
Lahor me kya samay hai?
To Tokyo wa ima ni-ji desu.
Lahor wa imanan ji desu ka?
To aap bata sakte hai, Lahor wa ima go-go roku-ji desu.
To bhi difference hoga time me usko calculate karke aap bataiye aur abhyas kariye.
Ek baar aur kar liye.
Indo wa ima ni-ji desu.
Tokyo wa imanan ji desu ka?
To Tokyo me aur Indo me Bharat me saare-teen-gante ka farak hai.
To aap usko add karke aur bataiye ki kya samay ho raha hai.
To Tokyo wa ima go-ji han desu.
Go-go bhi laga sakte hai.
To go-go go-ji han desu.
Gozen bhi laga sakte hai.
Tokyo me chaar baj rahe hai.
To New York me kya time hai?
Tokyo wa ima yo-ji desu.
New York wa nan-ji desu ka?
Aap calculate karke isse bataiye ki kya samay hai.
Isi prakaar aap Indo kar sakte hai, Madrid kar sakte hai, Madhuriddo kar sakte hai.
Koi bhi jagah ka aap poochh sakte hai aur abhyas kar sakte hai.
Abhi tak aapne kara aur made ka abhyas kiya hai.
To ab ye dekhiye chota sa kaiva hai.
Ye kya poochh rahi hai?
Sumimasen, ega wa nan-ji kara desu ka?
Yani ki picture kitne baje se hai?
Ni-ji kara desu.
Nan-ji made desu ka?
Go-ji han made desu.
Arigatou.
To ino ne yaha pe uketsuke me poochha.
Pishli baar aapne uketsuke kiya tha.
Inquiry.
To ino ne yaha pe poochha.
To in sajjan ne bataya ki saadhe paanch baje tak hai picture.
Do baje se shuru hai aur saadhe paanch baje tak hai.
Abhi aapne kiya nan-ji desu ka?
Ple swa nan-ji desu ka?
Aapne samay ke liye bhi poochha.
Uske saath jagah ke liye bhi poochha.
Ki yaha par kya samay ho raha hai?
Jagah mein abhi aapne kiya Tokyo, Madrid, Delhi, New York sab jagah kari aapne.
Ab jagah ke liye aap department store bhi keh sakte hain ki department store wa nan-ji
kara nan-ji made desu ka?
Ki kitne baje se kitne baje tak hai?
Hai ki nahin hai?
To department store wa depa-to wa nan-ji kara nan-ji made desu ka?
Depa-to wa nan-ji made desu ka?
To depa-to wa nan-ji kara nan-ji made.
Thik hai?
To iska aap abhyas kar sakte hain.
Department store ki jagah hain, aap place ki jagah hain.
Aap gingko pooch sakte hain.
Bank wa nan-ji kara desu ka?
Ginko wa nan-ji kara desu ka?
Gakko wa nan-ji kara desu ka?
Aur iska aap uttar de sakte hain yaha par.
Idhar aap bata sakte hain ki kitne baje se hai?
Nihon-go kurasu wa nan-ji kara nan-ji made desu ka?
Kitne baje se kitne baje tak hai aapki Japani class?
Aur supa wa nan-ji kara nan-ji made desu ka?
To kisi bhi jagah ke baare me bhi aap pooch sakte hain ki ye store, ye class, ye office
kitne baje se kitne baje tak hai?
Ab aap ghadi dekh karke bataiye isme kya kahenge aap?
Ko-gi, ko-gi yaani ki special lecture, wo kitne baje se kitne baje tak hai?
Aap ko-gi ke liye bhi pooch sakte hain, class ke liye pooch sakte hain, lecture ke liye
pooch sakte hain, picture ke liye pooch sakte hain.
Kisi bhi cheez ke liye kitne baje se kitne baje tak hai?
Ye pooch haja sakta hain is pattern ke saath.
To ko-gi wa nan-ji kara desu ka?
Ko-gi wa go-go yo-ji kara go-ji made desu.
Yaha par kyunki chaar se paanch baje hai to dubara se go-go lagane ki zarurat nahi
hai.
Go-ji se pehle go-go lagane ki avashyakta nahi hai.
Agar aap chahe to aap laga karke abhyaas kar sakte hain.
Go-zen aur go-go dono ka hi prayog ho sakta hai.
Chaar baje savere aur chaar baje shaam ko.
Haan ye dekhna zaruri hai ki chaar baje savere raat me class nahi hongi.
Ga-ko wa nan-ji kara desu ka?
Ku-ji kara san-ji made desu.
Isme likha hua hai.
Aap iska abhyaas kariye.
Kanji me khaas karke likha gaya hai.
Jisse aap ye jitni kanji jo hain wo aap pehchaan sakein aur apne aap likh sakein.
Gin-ko wa nan-ji kara desu ka?
Gin-ko wa ku-ji kara yo-ji made desu.
To is prakaar se abhyaas kariye.
Abhi ek chota sa aapka kaiva hai.
Tanaka san-no khaas wa ab kisi vyakti ka?
Wo hi sawal hai, lekin aapne ek vyakti ka naam rakh diya hai.
Specific bana diya hai usko.
Special bana diya hai ki in sajjan ka, in vyakti ka, class kitne baje se kitne baje
tak hai.
Tanaka san-no khaas wa nan-ji kara nan-ji made desu ka?
To ku-ji kara yo-ji han made desu.
Saare das baje se hai.
Gozen bi ho sakta hai, go-go bi ho sakta hai jaas aamne aapko bataya.
To ab khaas ki jagah aap kaisha bi kar saktein.
To batayiye, ku-ji kara go-ji han made desu.
Aur aap dekhenge yaha ki ji pehle hai aur han baad mein.
Frans-go no khaas wa hachi-ji han kara ni-ji made desu.
Ishi prakar Matsumoto sensei no kougi wa san-ji kara yo-ji made desu.
Piano lesson wa roku-ji han kara shichi-ji han made desu.
Kodomo no kakko wa shichi-ji han kara san-ji made desu.
To yaha pe aap go-zen lik sakte hain.
Go-zen shichi-ji kara go-go san-ji made desu.
Is prakar aap abhyas kar sakte hain.
Han aapne abhi abhyas bi kiya hai.
Ab aap padh bi sakte hain.
Han ka mool artha hai.
Adha bhaag.
Kisi ka bi adha bhaag.
30 minute isliye 30 ko han bi padha jata hai.
Time ke reference me isliye shichi-ji han aur 30 minutes bi kaha jata hai.
Jasa ki yaha likha hai ye dhyan me rakhna ati-abashak hai ki gante ke counter-ji ke
baad hi han ka priyogu kiya jayega.
Jase go-zen ichi-ji han desu.
Go-zen ichi-han-ji desu.
Bilkul hi galat hai.
Ye aapko humne pehle bhi bataya hai.
Iska dhyan rakhiye.
Ab iska abhyas kar lijiye.
Humare baad zor se boliye isko.
Ichi-ji han, ni-ji han, san-ji han, yo-ji han, go-ji han, san-ji han, go-go san-ji
han, go-ji han, roku-ji han, shichi-ji han, hachi-ji han, ku-ji han, ju-ji han, ju-ichi-ji
han, ju-ni-ji han.
Ab aapke liye kanjiye hai.
Humne aapko abhi bataya tha.
Dekhiye yaha pe is tarike se aayi hai ye.
Ye otera hai.
Yaha pe roz suraj ugte samay ghanta bajjata hai.
Dekhiye ye ni-ji aur otera ki kanji ke saath banaya gaya hai.
Time ji.
Isko yad rakhiye ga.
Ye kitne stroke ka character hai?
Dekhiye ek, do, teen, chaar, paanch, she, saath, aath, naun, das.
Das stroke ka character hai.
Isko yad rakhiye ga.
Ye ima hai.
Ima nan ji desu ka?
Toh jo bhi pictogram hai, jo bhi idea hai, wo aapki image se banta hai.
Isme image ye dikhai jaa rahi hai ki aap tent ke andar hai aur bahot relaxed hai aur
is vakat gaana ga rahe hai.
Toh ye toh uchi ka symbol hai aur chhat samajh liye aur ye jo hai, jo gaane me ra-ra-ra
aata hai, wo ye hai.
Toh is tarike se isko depict kiya gaya hai.
Vaastav mein kya socha gaya tha ye toh nahi pata hai, lekin philhaal ye picture dikhai
jaa rahi hai.
Isse aapko yaad karne me aasani hoge.
Ye haan hai, yaani aadha.
Toh koi bhi board ho, koi bhi patra ho, usko aap aadhe me kaat dijiye.
Isko haan kehte hai.
Ek, do, teen, chaar aur upar se paanch.
Ek, do, teen, chaar aur paanch.
Isko haan kehte hai.
Koi bhi patra ko, kisi board ko aap kaat dijiye, ye hata dijiya toh yahaan pe do laine dikhne
lagenge.
Ye go hai, chaar.
Ye dhyan rakhna hai ki ye upar nahi jaata hai.
Ek, do, teen aur chaar.
Go.
Dopahar ke liye kaha jaata hai.
Aur ye aato ki kanji hai.
Thodi si kathin dekhne me lagegi aapko, lekin itni kathin hai nahi ye.
Aap dekhiye, iska stroke order bana hua hai.
Hum aapko bana ke bhi dikhate hain.
Ek, do, teen, chaar, paanch, cheh, saath, aath aur naun.
Is tareeke se ye banaya jaata hai.
Ek baar phir se aapko dikha de.
Ek, do, teen, dekhiye, ek, do, teen, chaar, chaar aur ye paanch aur phir ye cheh, saath,
aath.
Aath jo hai is tareeke se hai prakaar hai aur naun.
So, ye naun stroke ka character hai.
Dekhne me bahut kathin hai, lekin teen bhaag me agar bhibhajit karke isse banayenge to
itna mushkil nahi hai.
Ye, aato bhi hai, yaani ki baadme, peechhe aur go bhi iski reading hai.
Ye, iska basic arth hai pehle, aage aur bade achche tareeke se banaya gaya hai.
Dekhiye, pehle batti nahi hoti thi to khana bahut jaldi bana diya jaata tha.
Sooraj dhalne se pehle ya chandarma ugne se pehle jab ujala ho tab khana bana diya jaata
tha, jisse khane me keede makode na jaye.
To, roshni hai nahi, kya kiya jaye, jaldi se chaand nikalne se pehle chaaku churi se
kaat karke khana bana dijiye, usse pehle.
To, is tareeke se banaya jaata hai ye.
Ye chaaku ka symbol hai.
Ye chaand hai, khula hai, jaisa ki aapko pehle hum bata chuke, kyunki badta ghatta
rehta hai.
Ye sab masale hai, unse jaldi jaldi aap khana bana dijiye.
To, ye kitne stroke ka character hai?
Dekhiye, ek, do, teen, chaat, paanch, cheh, saath, aath aur ye nau.
Yaani ki maaya, zen, go-zen, go-go.
To, go-zen ka zen hai ye.
Ab yaha pe kuch naye shabd hai aapke liye.
In shabdon ko hum ek baar practice karwa dete hain, inka abhyas karwa dete hain.
Humare baad aap boliye.
To, yuubinkyoku, byouin, mise, supa, depaato, taishikan, toshoukan, go-zen, go-go, hikouki.
Artha iske sab diye hue hai.
Aap dekh sakte hain aur zor-zor se iska abhyas kar sakte hain.
Ye kuch kanji ke saath hai, jo aapne kanji kari hai, wo shabd hai.
Inko bhi aap apne aap dekhiye, inka abhyas kariye, zor se boliye.
Aapko vaakya banane me suvidha hogi aur vaakya ke saath hi saath aapko kaiva karne me bohot
suvidha hogi.
Iska aap abhyas kar sakte hain.
Tamaam saari ye aapko ghariyan di hui hain.
Inke saath kanji mein aapko likha gaya hai samay.
Jisse aapka kanji ka bhi abhyas ho.
Toh ye aap apne mitra ke saath inka abhyas kariye, zor se bol karke aur ek chota-chota
kuch kaiva kariye.
Ye bhi isi prakaar aapko ghariyan di gayi hain aur koi activity bataayi gayi hain ya
kaisha kitne baje se hai ya jo bhi aap bataana chahein iske baare mein aap ghari dekh karke
yaha pe idhar ki taraf jo likha hai usko dekh karke aap apne mitra ke saath kaiva kariye.
Yaha par juku hai.
Ye ek shayad naya shabd hai aapke liye.
Juku hua coaching class, special class.
Toh wo kitne baje se hai?
Ye poot sakte hain.
Piano recital kitne baje se hai?
Iske baare mein pootcha jaa sakta hai aur kaiva kiya jaa sakta hai.
Toh aaj ke liye humaine khayal mein itna kaafi rahega.
Aap logone aaj samay poochna aur bataana seekha.
Uske saath, samay ke saath aur jude hue jo bhi shabd hain, wo sab aapne seekhe.
Toh iss sab ka aap abhyas kariye apne mitra ke saath.
Aur agli class mein hum log jaldi hi milenge.
Tab tak ke liye namaskar.
Dhanyavad.
