Lecture 03: Dochira kara desu ka?

IIT Kanpur July 201
20 followers
Dec 1, 2023
Konnichiwa minasan, namaskar. Aaj ke iss lesson mein aap sabhi ka swagat hai aur aaj bhi
hum log japani seekhenge. Pichle humare lessons mein, chapters mein aapne parichai kiya hai,
aapne hira gana kiya hai, aapne kuch nai shabd bhi seekhen hai. To aaj bhi usko hum
aage le chalte hain. Aaj bhi hum log kuch hira gana karenge, kuch nai shabd seekhenge
aur bolne ke alag alag tareeke seekhenge japani mein, vyakran seekhenge. To aayiye, sabse pehle
shuru karte hain hum ucharan se. Ucharan dekhiye bahut hi avashyak hai aur khaas karke aap
ke liye ye ucharan humne tayaar kiya hai jisse aap japani ke shabd aasani se bol sake.
So, sabse pehle agar aap apne screens pe dekhenge to, ai u o, ho hi hi he, aap humare baad abhyas
kariye iska. Ek baar phir se, ai u o, ho hi hi he, keki ku ko, he hi he ho, ne ni nu no,
tachi tsu te, ya yo yu yo, no ni ni ne, sase suso, rari re ro, suso sase, techi tsu te.
Dekhiye, jab aap in hira gana sounds ko ek saath mila kar bolenge, to aap achche se un
shabdon ka baad mein ucharan kar sakenge. Tachi tsu te, maami mu me, aur ye tsu hai
aadha t and su. Mila karke tsu banta hai, su nahi hai. Tochi tsu to, maame mi mo, ha hi
he ho, momi mi me, ho hi hi he, ya yu ya yu, na ni nu ne, ro ri ri re, ha hi ha ho, ha
hi ha hu. To iska aap ucharan kar sakte hain apne mitra ke saath aur akele bhi. Lekin jo
bhi aap abhyas karenge, wo aap zor zor se karenge, jisse ki aapko khud bhi sunai pade
ki aap kya keh rahe hai. Abhi tak humne tees tak ginti kari hai, to aaj hum tees se pachaas
tak karenge. San-juu-ichi, san-juu-ni, san-juu-san, san-juu-shi, ya san-juu-yon, san-juu-go, san-juu-roku,
san-juu-nana, ya san-juu-shichi, san-juu-hachi, san-juu-kyuu, yon-juu. Iske baad hai, yon-juu-ichi,
san-juu-ni, san-juu-san, san-juu-yon, san-juu-go, san-juu-roku, san-juu-nana, san-juu-hachi,
san-juu-nana, san-juu-go, san-juu-nana, san-juu-hachi, san-juu-nana, san-juu-go, san-juu-nana, san-juu-nana,
san-juu-go, san-juu-nana, san-juu-go, san-juu-nana, san-juu-go, san-juu-nana, san-juu-go, san-juu-nana,
san-juu-go, san-juu-nana, san-juu-nana, san-juu-go.
So, stroke order yad karna ati avashyak hai.
To aapke paas hai ma, mi, mu, me aur mu.
Ab ma se aapko kuch shabd batate hain, shabd isliye avashyak hain, jisse ki aap baadme
in shabdon ka prayog karke conversation kar sake.
So, ma se madao, mikan, mushi, koi bhi keeda jo hai wo mushi kehlata hai, kisi prakaar
ka bhi keeda ho, chahein wo ringne wala ho, chahein is tarike ka par wala keeda ho, sab
mushi kehlata hai.
Meron, ab aap dekhenge ki abhi tak aapne hiragana yaha pe likhi hui hai aur yaha pe kuch
alag tarike se likha hai, ye katakana hai aur kyunki meron jo hai melon, wo angrezi
ka shabd hai, isliye usko katakana me likha gaya hai.
Mo, momo yaani aadu, tasveer se aapko bilkul saaf dikh raha hoga.
Mame, kisi prakaar ki bhi beans, chahein rajma ho, chahein chole ho, chahein matar ho, chahein
chana ho, sab mame kehlati hai.
Me, mimi, megane, matsuge, matsuge aapki bhone hai, mimi kazari, mimi aapne abhi yaha
kiya hai.
Kazari ka artha hai, sajana ya sajane wali koi vastu, to kaan me sundar kaan ko banane
ke liye bunde hote hain, to mimi kazari aur ussi prakaar aap dekhiye, mizu-sashi hai.
To do ye shabd hai, mizu ka artha hai paani aur sashi ka artha hai dena, to wo vastu jo
paani deti hai, mizu-sashi aur mafura.
Yaha aap phir dekhenge, yaha katakana me likha hai, muffler ek angrezi shabd hai, isliye
mafura.
Ab ye ya dhwani ki hira gana hai, ya, yu aur yo.
Ya dekhiye, aise likha jayega, ya, yu aur yo.
Ye teen kyun hai, aap ye jaanna chahenge, baaki sab me paanch hai dhwaniya, isme teen
kyun hai.
Agar aap dhyan se sunenge, to ya ant me a aata hai.
Ya i, yu, ye, yo, to i aur e jo sound hai, wo bahut zyada i aur e se milti hai, isliye
usko hata diya gaya hai aur ya, yu aur yo keval rakha gaya hai.
Ab yaha par ya se kuch shabd hai aap ke liye, yagi, yuki daruma, yuki maane baraf, to yuki
daruma snow man aur yuki aap dekhi rahe hai, yuki ka artha hai baraf.
Yo to, phir se yaha pe aapko katakana dekhne me milegi aur yonju, ye aapne abhi kiya hai
ginti me.
Ye kuch shabd bhi hai, dekhiye yasai, maane sabzi, yakitori, ye ek prakaar ka sabzi,
bahut popular khaana hai Japan me, chicken, tandori isko aap Hindi me keh sakte hai, lakdi
me laga karke isko aur roast kiya jaata hai, barbeque kiya jaata hai, to yakitori, yo-ji
ye bhi aap karenge, chaar bajra hai isme, ye aap kuch lessons ke baad padhenge, yu-re
me bhoot.
Ab ye ra series hai, ra, dekhiye yahaan par aap dekhenge ki ye thoda sa upar utha hai,
ye aisa kyu hai, hota ye hai ki jab aap brush se likhte hain, to brush ko agar aap ekdum
rok denge, to wahaan pe ek gol sa dhabba pad jayega, to usko sundar banane ke liye aap
brush ko uthate hain aur isliye wo choti si ek lakir jo hai wo yahaan aa jaati hai.
To pehla ye stroke hai aapka aur phir ye stroke hai, ra, ri aur ye dhyaan rakhiye
ga, ri me ki dekhiye ek chota hai aur doosra bada hai, ra, ri, ru, re aur ro.
Ru aur ro me farak ye hai ki ru me ek chota sa aap andar ko ghuma karke aankh bana dete
hai aur ye isko aise hi chod diya jata hai.
In se kuch naye shabd hain dekhiye, rakuda, risu, rubi, rei, roketo, to yaha pe rubi aur
roket jo hain wo angrezi ke shabd hain, isliye katakana me likha gaya hai.
Ra se kuch aur shabd hain, rayon ye aap log sab jaante hi hain, ringo, rakko, remon aur
aap dekhenge ki ye bhi katakana me likha hai, kyunki angrezi ka shabd hai, rajio, radio,
reizo ko, renga, ite dikh rahe hain aapko, ab ye hai wa, wo aur un, wa, wa, wo aur un.
Isme stroke order aap kripa dhyan rakhiyega, pehla stroke order lamba hai, vertical hai,
uske baad wa banaya jata hai, jabki ek, do aur teen aur ye stroke order hai uska.
Iske saath naye shabd dekhiye, wani, washi, ringo, un se kyunki koi shabd nahi hai to
beech mein aata hai.
Ye ek sound hai aur mikan.
Ye jo hai, ye yaha pe jo dikh rahe hain aapko, ye particle o hai, jo baad mein karenge.
Ab aapka heera gaana aase lekar ke un tak complete ho gaya hai aaj tak ke lesson mein.
Ab jo anya uski sounds hain ga, ba, pa, za ye sounds jo hain hum log apne agli chapter
mein karenge.
Abhi pichle humare lesson mein aapne kiya parichai.
Ab ye ek chota sa kaiva hai.
Minasan wa gakusei desu ka?
Iie, watashi wa gakusei dewa arimasen.
To, Honda san ne unse pucha ki, kya aap vidyarthi hai, kya aap student hai?
To, hono ne ka, nai, iie, mai student nahi ho.
Ye ek pura-pura jawab hai, nahi, mai student nahi ho.
Ya, aap usko bahut chote se waake se bhi jawab de sakte hain ki, iie, sou dewa arimasen.
Jaisa aap keh rahe hain, waisa nahi hai.
Ya, aap iie bhi hata sakte hain aur agar aap kisi ko jaante hain aur bahut formal situation
nahi hai, to aap keh sakte hain, sou dewa arimasen.
Dewa arimasen desu ka?
Negative hai.
Desu positive ke liye hota hai aur dewa arimasen nahi aisa nahi hai ke liye prayog me aata
hai.
Likhne ka bhi abhyas kariye, to aapko likhna, padhna dono aajayega.
Iie, sou dewa arimasen ya sou dewa arimasen.
Aaj ham log karenge dochira kara desu ka?
Ie, jo dochira shabd hai, ie kya hai?
Dochira ek prashna vachak shabd hai aur iska arth kya hai?
Usko ham abhi batayenge.
Usse pehle ye kaiva padhte hain.
Konnichiwa.
Mira san wa kenkyuu sei desu ka?
Gakusei desu ka?
Watashi wa kenkyuu sei desu.
Shitsurei desu ga, o kuni wa dochira desu ka?
Dochira kara desu ka?
Watashi wa indou kara desu.
Agar ham itna hissa kaat den yaha se aur yaha pe question mark laga den.
Agar ham yaha question mark laga den, to ie, Konnichiwa.
Mira san wa kenkyuu sei desu ka?
Ie, complete ho jayega.
Ie, ek sawal ho jayega.
Lekin, ham ne yaha question mark nahi lagaya.
Ham ne kya kiya?
Ham ne kya lagaya aur uske aage kuch aur bhi kaha ham ne.
Kya aap kenkyuu sei hai?
Ya aap vidyarthi hai?
To Mira san ka jawab kya hai?
Mira san kehti hai, Watashi wa kenkyuu sei desu.
Main kenkyuu sei hun.
To dou nouns me se unhone ek cheeze choose karke bataye ki main ye hun.
Ab Tanaka san puchte hai, Shitsurei desu ga okuni wa dochira desu ka?
Shitsurei desu ga ek phrase ki tarike se isko yaad kariye.
Maaf kijeyega, Lekin, okuni wa dochira desu ka?
Jab aap kisi anya vyakti se formal situation me baat karte hain, kisi baharwale se aap
baat karte hain, apne parivaar ke logon se ya office ke apne logon se nahin baat karte
hain aur aap unke desh ke baare mein puchte hain, to aap hamesha uske aage ye wo lagayenge.
Okuni wa dochira desu ka?
Aapka desh kaha hai?
Arth, jab isko ham translate karte hain to ye nikalta hai.
Dochira ka arth hai kaha?
Agar ham literal iska translation karte hain to ye hota hai ki aapka desh kaha hai?
Lekin, iska arth kya hai?
Iska arth hai aap kaha se hai?
Ye bohot ek alag tarike se, alag prakaar se Japani me pucha jaata hai.
Jisko aap yaad kariye aur uska jawab dijiye.
Ya, aap ye bhi kahe sakte hain ki dochira kara desu ka?
Aap kaha se hai?
To ye dono cheezein abhi ham log aage karenge.
Meera ji ka jawab hai, Vata, Shiva, Indu, kara desu.
Main Bharat se hun.
To ye dhyan rakhiye, shitsure desu ga maaf ki jiyega.
Lekin, aap kaha se hai?
Meera ji kehti, main Bharat se hun.
Ab aap dekhiye, dochira ka arth kya hai?
Ye ek prashna vachak shabd hai.
Aur zyadatar jo hai, ye jage ko puchne ke liye prayog me aata hai.
Iska ek aur bhi prayog hai, jo ki ham log baad me karenge.
Lekin philhal, jaise aapne abhi previous apni slide me kiya hai,
Okuni wa dochira desu ka?
Aap kaha se hai?
Iska arth ye nahi hai ki aap ka desh kaha hai?
Aap khud kaha se hai?
Ye jo wo hai, ye ek prakaar se aap keh sakte hain ki sammaan soochak hai.
Aur aap ye dekhiye, ye o, a, e, u, e, o me jaise likha jaata hai.
Ye waise likha jaata hai, o, a, e, u, e, o ka o hai.
Aise hi sammaan soochak ek aur hai, go.
Jo jab aap kisi bahar wale se baat karte hain, formal situation me baat karte hain,
kisi bade se baat karte hain, tab prayog me aata hai.
In ke kuch aise shabd hain, jo abhi aapko hum batayenge.
Jaise, o namae wa nan desu ka?
Jab aap kisi ka naam poochte hain, tab aap o lagate hain.
Lekin apne naam ki aage aap kabhi bhi o nahi lagate hain.
Jaise aap Hindi me bhi poochte hain, to aap kehte hain aapka shubh naam kya hai?
Aap jawab me ye nahi kehte hain ki mera shubh naam ye hai.
Usi prakaar se Japani me bhi kiya jaata hai.
Aise hi abhi aapne dekha, Okuni wa dochira desu ka?
Okuni kaha jaata hai.
Mera jo desh hai, wo Okuni kabhi nahi kehla haiga.
Main usko keval Kuni kaha hoga.
Ye dhyan me rakhne wala hai.
Aur aise hi jaisa ek aur shabd aapko yaha go dikh raha hai,
wo hai gojyusho.
Yani ki, aapka jyusho kya hai?
Aapka pata kya hai?
To uske aage jab bhi aap kisi se poochenge, to aap go lagayenge.
Wo namae wa naam desu ka?
Gojyusho wa naam desu ka?
Abhi aapko kara bataya.
To kara ka arth hai se.
Aap kaha se?
Dekhiye, dochira kara desu ka?
Aap kaha se hai?
Watashi wa nihon kara desu.
Main Japan se hun.
Watashi ke aage wa lagaye, kyunki aapko pata hai ki, wa jo hai, wo aapke topic ke baad
lagaya jata hai.
Jis ke bhi baare me aap baat karna chahate hain, jis vastu ya vyakti ke baare me aap baat
karna chahate hain, uske aage hamesha particle wa lagaya jata hai.
To watashi wa, main apne baare me bata raha hun.
Isliye, watashi wa nihon kara desu.
Main Japan se hun.
Ab aap ek chota sa konversation bhi kar sakte hain, aap kisi se pooch bhi sakte hain, ki
aap kaha se hai.
To Tanaka san kisi se pooch rahe hain, dochira kara desu ka?
Aap kaha se hai?
Kara desu ka?
To Meera kehti, Indo kara desu.
Main Indo se hun.
To kara ka arth aata hai se.
Place kara.
Hamesha yeh hoga place kara.
Chahe main Japan se hun, chahe main Bharat se hun, chahe main Amerika se hun, chahe main
Europe se hun.
Place kara.
Kangkoku, aap hamare baat bol sakte hain.
Kangkoku, Korea, Itaria, Italy, Doitsu, Germany, Nihon, aapko pata hi hai Japan.
Beto naam, aap bata sakte hain aram se Vietnam ki baat ho rahi hai.
To aap aram se, watashi wa kangkoku kara desu, watashi wa Itaria kara desu, watashi wa Doitsu
kara desu, watashi wa Nihon kara desu, watashi wa beto naam kara desu.
Aap isu tarike se iska abhyas kar sakte hain.
Aur aap apne mitra se abhyas karte same yeh bhi pootsakte hain ki unka agar naam aapko
pata hai.
To, jesse Tanaka san hai.
Tanaka san wa dochira kara desu ka?
Mira san wa dochira kara desu ka?
Ya, aap yeh bhi kaisakte hain, Mira san wa Nihon kara desu ka?
Person wa Nihon kara desu ka?
Aap isu tarike se bhi unse sawal pootsakte hain aur unka jawab aasakte hain ki hai Nihon
kara desu ya Nihon kara de wa arimasen.
Ab aapne yeh to bata diya ki hum yaha se hain, ki hum Japan se hain, ya hum Bharat se hain
ya Amerika se hain.
Aap nagrikta kaise bataenge?
Ki hum is desh ke wasi hain.
To, Mira san wa Indo jin desu ka?
Abhi aapne Mira san wa Indo kara desu ka?
Aap Mira san Japan se hain, Indo se hain kya?
Ab kara ki jagah humne jin laga diya.
Agar jagah ke baad aap jin lagate hain, to wo nationality batata hai.
To dekhiye, Mira san wa Indo jin desu ka?
Hai, watashi wa Indo jin desu.
Main Bhaarti hun.
To wo jin ke saath aap nationality apni batate hain.
Main is desh ka wasi hun.
Ya, Iie, watashi wa Indo jin de wa arimasen.
Main Bhaarti nahin hun.
Dono me se koi bhi cheez aap keh sakte hain.
Mira san se agar wo kehen ki, Mira san wa Nihon jin desu ka?
To, Mira san bahut aaram se keh sakte hain.
Iie, watashi wa Nihon jin de wa arimasen.
Ab dekhiye, yaha pe Indo ki jagah hain.
Indo ki jagah hain.
Aap koi bhi country ka naam laga sakte hain.
Kisi bhi country ka.
Mira san wa Itaria jin desu ka?
Mira san wa Doitsu jin desu ka?
Mira san wa Nihon jin desu ka?
Mira san wa Betu naam jin desu ka?
Mira san wa Kankoku jin desu ka?
Aap aaram se ye laga karke practice kar sakte hain.
Isi ke saath saath aap ye bhi kar sakte hain ki, aap Mira ki jagah koi bhi aur naam use
kar sakte hain.
Jaise, aap agar yaha pe koi aur naam use karna chahein.
Aap kehen, aapne ye shabd kiya hain.
Aapne otousan kiya hain.
Otousan wa Itaria jin desu ka?
Okaasan wa Itaria jin desu ka?
Ya, Nihon jin desu ka?
Ya, Tanaka san aap keh sakte hain.
Tanaka san wa Nihon jin desu ka?
Kisi ka bhi naam, ya sensei aapne ye shabd kiya hain.
Sensei wa Nihon jin desu ka?
Mira ki jagah hain.
Inme se kuch bhi laga karke aur yehi vaake thoda sa badal jaayega aur aap apne mitra
ke saath iska abhyas kar sakte hain.
Jin ka prayog karke.
Jin ka jo character hai wo, kanji character hai wo ye.
Vyakti ke liye prayog me aata hai jin.
Ab yaha pe diya hai A desu ka B desu ka?
Yaha pe do ka diye hue.
To dono ka to ek arth nahin ho sakta hai.
Ek ka arth kuch aur zarur hoga.
Aakhir me jo ka hai, wo to question mark hi hoga.
Kyunki anata wa Nihon jin desu ka?
Bilkul wahi cheez hai.
To ye to ka hai.
Ye to prashan ban gaya aapka sentence.
Lekin, iska kya arth hai?
Ab ye hum log ko jaan na hai.
To ye dekhiye, yaha pe likha hai.
Uske baad coma aata hai aur uska arth hai ya ye ya ye.
Aap A hai ya aap B hai.
Jaise, aap ek sentence le sakte hain.
Anata wa Nihon jin desu ka?
Doitsu jin desu ka?
Aap Nihon jin hai ya aap Germany se hai, German hai.
To iske liye ab aap dekhiye, kaise aap practice karenge isse?
Kocha desu ka?
Ek ye aapka sentence hai, vaakya hai.
Doosra hai, kohi desu ka?
To ye do vaakya ho gaye hai.
Ab inko agar hum ek me karenge, to hume ek jo question mark hai, wo hatana padega.
Usko hum kaise hatayenge?
Hum usko likhenge, kocha desu ka coma kohi desu ka?
Yani ki, do sentences ko humne ek bana diya.
A desu ka?
B desu ka?
A desu ka?
B desu ka?
Jaisa yaha pe likha hua hai A desu ka?
B desu ka?
To ye kuch bhi ho sakta hai, koi bhi cheeze aap dikha karke keh sakte hain.
Aap Santre ko dikha karke keh sakte hain.
Mikan desu ka?
Reimon desu ka?
Aap se-be ko dikha ke keh sakte hain.
Ringo desu ka?
Momo desu ka?
Aap pencil ko dikha ke keh sakte hain.
Pen desu ka?
Pencil desu ka?
Indo jin desu ka?
Nihon jin desu ka?
Indo-jin desu ka?, Nihon-jin desu ka?, Bengo-shi desu ka?, Enjin-ya desu ka?
Ye aapne pehle bhi kiya hai, Nihon-jin aapne kiya hua hai, Indo-jin aapne kiya hai.
To in dono ke bare me kisi byakti ko dekh kar ke aap puch sakte hain ki, Indo-jin desu
ka?, Nihon-jin desu ka?
Wo jo bhi agar Indo-jin hain to aapke dost keh sakte hain, Hai, Indo-jin desu.
Agar wo Indo-jin nahin hain to aap keh sakte hain ki, Iie, Indo-jin dewa arimasen.
Desu ka?, Nihon-jin desu ka?, Bengo-shi desu ka?, Ginko-en desu ka?
To aap lawyer hain, ya aap bank se hain, ye bhi aap puch sakte hain aur iska haan ya naan
me jawab de sakte hain.
Aapne chote prakaar se kaise jawab diya jata hai, wo bhi kiya hai, to wo aap iska yaha
pe abhiyas kar sakte hain.
Dekhiye ye aapke liye abhiyas hai yaha pe, A desu ka, B desu ka ka, to yaha pe likha
desu ka?
To aap puch sakte hain, Gakusei desu ka?, Kyoushi desu ka?, Aap ringo aur momo hain,
aap kya puch hain, bataiye, Ringo desu ka?, Momo desu ka?, Usi prakaar se, Ketai desu
ka?, Keisanki desu ka?, Aise hi aap pencil bhi dikha ke puch sakte hain, Empitsu desu
ka?, Nihon desu ka?, Indo desu ka?
Aur ye dekhiye yaha pe cherries hain, to agar door se dekhiye to ichigo bhi lag sakta hain,
to sakurambo desu ka?, Ichigo desu ka?
To is prakaar se aap apne saathi ke saath, apne mitra ke saath, partner ke saath, aap
sawal puch sakte hain, wo aapko jawab de sakte hain, aap do teen tarike se sawal puch
sakte hain.
Is picture ko dekh kar ke aap ye bhi kah sakte hain, Sensei wa nihon jin desu ka?, Indo
jin desu ka?, Ye bhi aap kah sakte hain.
To is tarike se aap abhyas apne mitra ke saath kariye.
To aapke liye chitra lipi hai ye, hum log kar rahe hain.
Abhi tak humne pichle apne chapters me chhe tak kiya hain.
Aaj aapko saath se das tak kar aayenge.
To Nana, paanch ungliyan aur do ungliyan.
Japani mein aise dikhaya jaata hai saath.
Shichi, shichi.
Hachi, bahut hi simple hai.
Chaar ungliyon ko is tarike se rak kar ke aur dikhaya jaata hai hachi.
To dekhiye hachi.
Ab iske baad aata hai noun number.
Kyuu, kyuu sabse bada number hai single digit me.
Sabse takatwar number hai, sabse bada number hai.
To isliye hamesha ye dikha kar ke bataya jaata hai kyuu.
To dekhiye, kyuu is tarike se banta hai, kyuu.
Aur iske baad jo number hai, wo das hai aur das is tarike se banaya jaata hai.
Plus ka sign hai, thoda sa lamba hai aur is tarike se aap ye yaad kar sakte hain.
Ye Chinese counting method hai nana, hachi, kyuu, jyuu.
Abhi tak aapne kiya hai good morning, good afternoon, good evening.
Yani ki, ohayou gozaimasu, konnichiwa, konbanwa.
Aaj aapko kar aayenge oyasuminasai.
Raat ho rahi hai, gyaara baj raha hai, bachche sone ja rahe hai aur mummy unki sulane aayi
hai mata ji.
To sone se pehle kya kahenge?
Oyasuminasai.
To thoda rising intonation hai oyasuminasai aur oyasumi bhi kaha jaa sakta hai.
Oyasumi, kuch nai shabd hain, ma series ke aap dekhiye.
Aap hamare baad abhyaas kar sakte hain.
Mori, michi, makkura, machi, mune, mugi, mochi, mon, matsuri, miruku, meishi – inke
arts diye hue hain.
Ye dhwani ke hai yani, ya kitori, ya sai, yure, yume, yoru, yome, yon.
To aaj ka paath yehi tak hai.
Ab hamara kaare yaha khatam ho gaya hai aapko padhane ka.
Aapko ghar jaa karke baahot saari cheeze karne hai, nai shabd seekhne hai, jo hamne
aaj paath me kiya hai, wo karna hai aur ye jo greh kaare aapko ham de rahe hai, wo bhi
aapko karna hai.
To dekhiye, sabse pehle hai, ek se das tak japani me ginti likhiye, hiragana me likhne
ka prayaas kariyega, jisse aapka hiragana bhi strong ho jaye aur aapko yaad ho jaye
hiragana stroke order ke saath.
Kara ka abhyaas kariye, ye shabd diye huye hai, inko aap hiragana me likhye, ye vyavasaay
hai, kaun bhiyakti kya karta hai, ye hiragana me likhye aur jin ka abhyaas apne mitra ke
saath kariye.
Ye kariye, isse aapko yaad jaldi hoga aur aage vaakya banane me bohot madad milegi.
Aaj ka kaare yahi tak, jaldiye phir milege.
Namaskar.
