
Iqama Expire ya Huroob 6 Mah Me Status Sahi Karein
Iqama Expire ya Huroob? 6 Mah Me Status Sahi Karein Saudi Arabia mein gharailu mulazimeen aur driver hazraat ke liye ek nai khabar hai ke Saudi government ne unhein chhe maah ki mohlat di hai apna iqama update karne ke liye. Agar koi mulazim ka iqama khatam ho chuka hai ya woh kaam se absent hai, toh unhein chahiye ke woh jaldi apna iqama update karein ya nayi kafalat hasil karein Is video mein humne Musaned application ka bhi tafseel se zikr kiya hai. Hum step-by-step dikhayenge ke Musaned app par kaise apna iqama update karna hai, kaise nayi kafalat lena hai, aur kya kya documents zaroori hote hain. Is tarah, aapko koi bhi mushkil ka samna nahi karna padega aur sab kuch legal tareeqe se asaan ho jayega Is video mein humne har zaroori maloomat di hai taake aap apne mulazimeen ki madad kar sakein aur unko sahi raasta dikhaya ja sake.
