Aishwarya Rai & Abhishek Bachchan Daughter Aradhya Bachchan Case | Bachchan Family | Bollywood News

Aishwarya Rai
7 followers
2 Video Views·Nov 6, 2025
Aishwarya Rai and Abhishek Bachchan's daughter Aaradhya moves High court over misleading content. Court issues notices to Google and other online platforms. The court told Google to share details of those who uploaded the content and to quickly remove any future misleading video. But the big question is will it put full stop to privacy, paparazzi and Irresponsible page three coverage ?
Baaki jo chup rahoge toh utheengi ungliyaan
Hai bolna bhi rasme jahan bolte raho
Baaki Siddiqui sahab ka sher hai toh janaab
Rasme jahan hai bolte rehna
Khamoshi kab bhaari pad jaye kaha nahi ja sakta
Aur aaj iss video mein chuppi todne ki zarurat par baat isliye
Kyunki Bachchan Parivar
Jo hamesha tight lipped rehta hai
Tabhi media mein badbolapan
Ya usse judi khabron par, appahon par
Toh aaj sawal uss Bachchan Parivar ko lekar hai
Ki kya Amitabh Bachchan ki parivar
Ne yeh samjh liya hai
Ki inn appahon par reaction
Ya inn par counter jawab dena
Ya unhe kharij karna
Jisse wo apni dignity ke khilaf samjhte the
Toh no comments aur no reaction wale
Jis chalan par wo aaj tak chalte aa rahe the
Ab social media ke zamane aur trolling ke daur me
Usse badalne ki zarurat kya mehsoos kar rahe hai
Aur yeh sawal isliye kyunki
Aishwarya Rai aur Abhishek Bachchan ki beti
Amitabh Bachchan ki poti
Aaradhya Bachchan
13 saal ki Aaradhya Bachchan
Ek baad phir court paunchi hai
Khabar aapne dekhi liyogi
Dekin aaj mein aapko is khabar ke aage ka analysis
Is video mein dena chahati hu
Jo aaj ke daur me
Aapki privacy, character assassination
Aur maansik roop se pratalit kar dene ke maamle ko
Highlight karega
Toh Aaradhya Bachchan
Jisse aapne kuch mahino ki umr se
Mehz kuch mahino ki umr se lekar
Ab 13 saal ke ho jane tak
Lagbag har badalte saal me dekha hai
Matlab celebrity bitiya hone ke naate
Aaradhya is desh ki aankhon ke saamne badhi hui hai
Aur logon ki nazar aisi hai
Ki nanni Aaradhya ke haathon me
Humare yaha pahad me dhaguli kahte hain
I don't know aapke yaha kya kahte hain
Toh chhote bachcho ko jo wo haath me kalai me
Wo kaale safed moti pehnaaye jaate hain na
Toh un dhaguli ko bhi pehneve logon ne dekha
Aur us par react ke kiya hai
Matlab us waqt ki baat kar rahe ho
Toh Aaradhya ki pehli kavita
Amitabh ji ke saath cake kaatne ki tasveer
Maata pita ke saath can festival
Tamaam bade karikramon me jaana
Matlab sab dekh liya hai
Last yeh bhi dekh liya ki
Aaradhya kitni badhi ho gayi
Ambani parivaar ki shadi ke karikram me
Aaradhya grown up look ke saath dikhai di
Matlab Aaradhya chalti kaise hai
Patli hai, moti hai, rang complexion kaisa hai
Height kis par gayi hai
Maa ki jitni sundar hai ya nahi
Bachchan parivaar wale sanskaar usme aaye ya nahi
Matlab kuch bhi ho, in and out scan
Social media par chalta hai
Aur social media khaskar
YouTube video ka content Aaradhya ban gayi hai
Aur haal yeh hai ki apne maata pita ke talaag ki
Bhayankar khabron ke beech
Us bachchi tak pahunchne wale videos aur content
Ka kya aafar hota hoga
Yeh parwaa bhala kise hai
Lekin lagta hai ki Bachchan parivaar ne
Bachche par hone wale iss maansik torture ko samjha hai
Aur belagaam YouTubers ko sabak sikhane ke liye
13 saal ki Aaradhya Bachchan
Apni privacy ke haq
Aur apne ware me phelti afwaahon ko
Ropne ke liye
Ek baar phir se Delhi High Court
Pahunchi hai
Aur iss maamle me
Delhi High Court ne Google
Bollywood Times samet kai doosri websites ke khilaf
Notice jaari kiya hai
Kya chika me media me Aaradhya ke baare me
Bhramak jaankari ko lekar bhi faisla dene ki
Appeal ki gayi hai
To ab yaha par mehtapoon baat yeh hai
Ki Bachchan parivaar to hamesha se
Khabron ke kendra me raha hai
Afwaahen ya masaldaar chatpate
Articles unhe lekar parose hi gaye hai
Lekin shayad Bachche par gayat zimmedaar
YouTubers ki jo heat aayi
Parivaar ka sabra toor gaya
Varna saikdo kisse hai afwaahon ke
Aur unpar Bachchan parivaar ki chuppi ke
Haal me Abhishek Bachchan aur Aishwarya
Rai ke beech sala ke sabra aayi
Ya kahen ki bahut tezi se yeh khabar pheli
Ambani parivaar me Aishwarya aur
Bachchan parivaar alag alag pohcha
To Abhishek Bachchan, Jaya Bachchan,
Shweta Nanda yeh sab ek saath the
Aishwarya akeli thi aur
Iss mudde ko lekar logon ne zabardast tariqat
React kiya lekin na Abhishek kuch bole
Na Aishwarya kuch boli, na Mirzaab kuch bole
Hala ki baad mein yeh zaroor hua ki
Isse lekar Abhishek Bachchan
Ne react kiya
Abhishek Bachchan ke 49mein jandan par Aishwarya ne unko badhai ki di
Aur usse pehle bhi
Dono ek aath baar phir saath dikhai diye
Aaradhya ke kisi function mein saath dikhai diye
To yeh afwaahon par full stop laga
Lekin sach yeh hai ki Amitabh
Jin dino film industry me aaye
Us waqt se afwaahin unke peeche lag gaye
To ek kissa bata rahi hun aapko
Amitabh Bachchan jab filmon me aaye
Tab woh mehmood sahab ke saath raha karte the
Aur mehmood sahab ke parivaar ke saath
Unka vishesh naata tha
Amitabh ne jab apna ghar alag liya
To mehmood sahab ki behen jine sab log pyaar se baby
Apa kehte the unhone Amitabh
Bachchan ke ghar ko sajjane sawarne me
Mehta poont bhoomika nibhai
Amitabh unko apni behen ki tara dekhte the
Lekin un dino ek filmy magazine
Ne yeh khabar chhaab di ki baby Apa
Aur Amitabh ji ke beech affair chal raha hai
Jiske baad Amitabh bohot bhadke
Aur is patrika ko bhi unhone
Lekin is ghatna ke baad Amitabh Bachchan ko samajh me aaya
Ki media kis tarah se kaam karta hai
Aur kis tarah se filmy kalakaron ke baare me
Khabrein likhi jaati hai
Paise kamahe jaate hai
Mahal banaye jaate hai
Aur un khabron ka khandan bohot aasaan nahi hai
Iski wajahe zaruri yeh hai ki jinke baare me
Khabrein chhap rahi hai na wo log aapas me baat kar le
Aur clear kar le situation
Isi tarah emergency ke baad
Jab yeh kaha gaya ki emergency ko lagwane me
Harivansh Rai Bachchan ka bhi role tha
Kyuki dekhe yeh baat sach hai ki
Harivansh Rai Bachchan ne emergency ka samarthan kiya tha
Bhale hi wo Gandhi parivaar ki wajah se ho
Lekin kaha yeh gaya
Ki Amitabh Bachchan ne bhi uska support kiya
Jab ki Amitabh Bachchan khandan karte rahe
Aur is doraan emergency ke baad
Rekha ke saath unke sambandon ko lekar
Jo kuch kaha gaya
Usse lekar bhi Bachchan sahab ne kuch bhi safai dene ki bhajaye
Media se kinara kare gaya
Aur kahi saalon tak unhe phir media se baat nahi ki
Phir chahe wo Gandhi parivaar se unki
Doori hi kyu na ho
Amitabh Bachchan ne haana ki khulkar
Aaj tak kuch nahi kaha
Lekin ek interview mujhe yaad aara hai
Aaj tak news channel ko diya gaye interview
Jisme unhe yeh zarur kaha tha
Ki wo raja hai aur hum rank hai
Rishton ka faisla raja karta hai na ki rank
Yeh baat Amitabh Bachchan ne aaj tak ke ek interview me
Kayi saal pehle kahi thi
Lekin uske baad
Jab Bachchan parivaar ki
Ek function aaya unke parivaar me
Abhishek Bachchan ki sagai
Karishma Kapoor se pehle hui phir tooti
Aur usper Bachchan parivaar
Kul tarah se khamos raha
Aur yeh baat aaj tak raaz hai
Ki hua kya tha, sagai tootne ki bajha kya thi
Aur kuch logon ne isse
Iske pehle kai reasoning thi
Babita Abhishek ki career ko lekar
Faisla nahi kar paari thi
Abhishek Bachchan utne successful nahi tha
Karishma kaafi successful thi
Lekin clear cut families ki taraf se aaj tak
Kisi ko nahi pata afwahen hai
Karibi jo kehte hai
Toh is tarah lagataar kai prakaran hua
Jab Amitabh Bachchan ne chahe
Abhishek Aishwarya ka maamla hu
Kuch nahi kaha
Lekin aaradhya ke vishay par
Yeh doosra mauka hai
Jab Bachchan parivaar court pohncha hai
Court ka darwaza khat khataya gaya
Toh is maamle me
Judge ne parivaar ke vakilon ke sabhi dalile suni
Aur is baat ko maana ki kuch uploaders
Aur prativadi maamle me court me pesh nahi hua
Iski wajah se ab khud ke bachaav me
Kuch kehne ka mauka bhi unke paas nahi hai
Aur is maamle ki sunwai agli 17 March ko honi hai
Toh chaliye
Ab jo videos hai
Jinn par yeh vyachika lagayi gayi hai
Toh video toh hatwa diya jayenge
Delete ho jayenge
Khatkar, jurmana, sankitik, saza waghera sab ho jayega
Lekin sawal toh yeh hai na
Ki is baat ki kya guarantee hai ki aage aisa nahi hoga
Kyuki situation chakar view se kam nahi
Internet ke vistrit aakash me
Hazaro karod webpages hain
Karodo YouTube channels hain
Jinn par koi bhi kuch bhi keh raha hai
Pehli baat toh yeh hai ki unpar nazar rakhna bohot muskil hai
Aur doosra yeh ki kanuni ladhai
Aradhiya bachchan ladh sakti hai
Lekin baaki log nahi ladh sakte
Halaan ki High Court ne apne observation me yeh kaha hai
Ki sawal sirf celebrities ke bachchon ka nahi hai
Balki aam log bhi hai
Aur unke bachchon ka bhi yeh haq hai
Ki unke baare me unki sehat ke baare me
Aisi koi misleading jankari agar internet par aati hai
Toh usse seriously liya jaye
Aur aisa nahi kiya jaa sakta
Internet ke duniya mein kuch bhi prasarit nahi kiya jaa sakta
Aur aam bachchon ki baat ho
Aam logon ke bachchon ki baat ho
Kanuni ladhai ladhna
Kitna sambhav hai yeh aap soch sakte hain
Wo bhi tab, jab desh me karodo maamle pehle se court me pending hai
Ab aise me sawal
Privacy hai, privacy ka hai, suraksha ka hai
Aur apne baare me phelti
Afwaahun ka bhi hai
Jisse celebrity philhal zyada juj rahe hain
Lekin aane wale dino me
Chinta ka sabab yeh aam logon ke liye bhi ho sakta hai
Aapke aur hamare liye bhi ho sakta hai
Kyunki dekhe
Ek tarah
Maamle jo yeh chal rahe hain wo aap soch hiye
Lekin AI ke aane ki baat kya hua hai
Aapki chehre par koi doosra chehre laga kar prasarit ho jaa sakta hai
Voice ki, aawaz ki cloning ho sakti hai
Pata bhi nahi chalega
Ki aap bol rahe hain, koi aur bol rahe hain
Phir YouTubers ki duniya hai
Internet ki website ki ek alag duniya hai
Toh jahan aapke baare mein kuch bhi kaha jaa sakta hai
Kuch bhi likha jaa sakta hai
Bina tathyon ke pushti kiye
Toh khatri alag tarah ki hai
Aur sirf celebrities ko lehkar nahi hai
Un logon ko lehkar bhi hai, jinki yeh bolne ka
Jinki aawaz ka koi matlab hai
For example, activist ho, patrikar ho, doctors ho
Professor, engineer, researcher, koi bhi ho sakta hai
Toh aaradhiya bachan ki wajah se
Jo gambhir vishay uthaya gaya hai
Us par, bade falak ko dekhte ho faisla hona chahiye
Aur sirf views aur content ke liye bilkul
Kuch bhi bakwaas jo parosi jaa rahi hai
Us par kadha action liya jaana chahiye
Mainstream media
Jo of course
Apne khabron ke liye alochna ke kendra me rehti hai
Lekin phir bhi, wo kuch toh basics follow karte hai
Matlab main agar kuch atrange channels ko chhod do
Toh jo purane channels hain
Legacy channels hain
Wo phir bhi ek basic ethics ka
A maintain kar rahe hain
Lekin abhi youtube ke maamle me
Gandagi, battameezi, zero accountability
Aur credibility ka downfall
Alag level par chala gaya hai
Iski tasbeer hain, humne kumbh me bhi dekhi hain
Jahaan par sadhu santon ko kis kadar
Youtubers ne naraz kiya hai
Kitni battameezi ke saath mein wo unko approach kar rahe the
Kis tarah ki khabre chhaap rahe the
Wo aap sabne dekha hi hai
Main us par alag se, main aapko kya tipni karke dikhaun
Lekin, I am sure, aapke saamne bhi wo videos
Aayi hunge, toh isliye bohot zaruri hai
Ki yaha se kam se kam, ek misaal
Zaroor kayam ki jaye
Toh is video ke zariya, ek important vishay ko
Uthane ki koshish thi, aap se jodave
Agar aapko video pasand aaya ho, mujhe comments mein zaroor batayi
Aap kya sochhte hain, aapki rai kya hai
Aur iske alaga
Newsbeads ke content ko
Please aage kahi aur logon ke saath bhi share kariye
Taaki hi, hum zyada logon tak pohot sake
Baaki, agar aap financially
Hume support karna chahein, toh channel ke member ban sakte hain
Super thanks kharit sakte hain
Ya phir, aap
UPI ID par bhi donate kar sakte hain
Bahot dhanyawaad video dekhne pe liye
