Lecture 10: 'पत्नी' कहानी का रूप पक्ष

IIT Kanpur July 201
20 followers
Dec 1, 2023
Namaskar, Pramukh Hindi Kahaniya aur Bharati Samaj Pathakam ke antargat jari vyakhyan
srinkhala mein aaj main prashiddh kathakar jayanendra ki kahaani patni ke roop paksh
par charcha karunga jisse aap silp paksh bhi kaha sakte hain.
pichle vyakhyan mein iss kahaani ke kathanak aur uske parives ke baare mein charcha karte
hain maine aapko bataya tha ki yah kahaani vyakti ke antar jagat uske mano bhaavon ko
samjhane ke sandhar mein bahut hi mahatpun kahaani rahi hai.
jiss samay ke kathakar lagataar samajik isthitiyon ka chitran apni kahaani mein so desh se lekhan
ke antargat kar rahe the jayanendra aur aage chalkar ke agge in do rachanakaron ne
manusya ke sokshm antar jagat ko bhi samjhane ki koshis ki.
yaha kahaani patni ek istri ke sokshm antar jagat ko samjhane ki disha mein meel ka patthar
sabit hui hai.
issi tarah ki yeh kahaani agge ne bhi likhi hai roj kahaani jiski bahut charcha hoti hai.
ta ki philhal hum jayanendra ke iss kahaani patni par aur uske roop paksh par apni baat
kendrat karenge.
aur yaha bhi aapko batane ki koshis karenge ki isthitiyon ki aparvart niyata, parivarik
parives ki jarata, istri ki gair mukharta, uska kam padha likha hona yaha sab iss kahaani
mein bahut hi gahre binyastha hai.
sansar bhar ke dukh agar parivar mein koi dhoti hai toh wah istri hi hoti hai sabse pahle
kyonki purush unh dukhon ko mukta karne ke liye yaha unh dukhon ka virechan karne ke liye
tamam samajhik isthitiyon se milta julta hai aur takraata rahta hai.
ta ki istri ke paas sirf dhone ke liye dukh hai.
jayendra ne iss patni kahaani mein paat sunanda ke maadhyam se issi baat ko rekt kiya hai
jis par ki pichle vyakhyan mein maine vistar se aapko bataya hai.
ab aaj ke iss vyakhyan mein jab hum iske sirf paksh ki charcha karenge toh usmein iss ke
sambhaat ke baarein baat karenge, iss ke bhaasai vidhan ke baarein baat karenge aur paathak
ke upar padhne waale prabhaav ke baarein mein zikr karenge aur yaha batane ke koshish
karenge ki bhaarati samajh ka jaisa yeh chitran karti hai yaha kahaani uss daur mein iss
se kahin adhik jatil bhaaratiya samajh tha.
kewal vyakti ko alaga karke aap apni samajhik zimmedaari se mukta nahi ho sakte.
kyunki vyakti mann par padhane waala prabhaav ka seeda sambandh samajh mann se banta hai
ya usse jubta hai.
kyunki samajhik halchalein chahe jitni tej hon, lekin unka koi na koi asar toh parivarik
gadvidhyon par padhta hi hai.
pati ki jujlahat, pati ki gussa, pati ki nafrat, pati ki berojgaari aur pati ke mann
mein chalne wale bahut saare sarvkaar samajhik aur gair samajhik.
yaha sabka davaav antatah ghar ke bheethar qaid patni ke upar hi padhta hai aur pursh
iss se anjana hai.
wo jaanne ki koshis hi nahi karta ki tumhari gadvidhyon ka seeda asar is parivarik par
kya padha raha hai.
aur wo bhi ek aisi patni jo akeli hai jiska ek bachcha tha aur jo ab duniya mein nahi
hai.
aakhir uske antar jagat ka jo haha kaar hai usse upar jo riktata hai usse bharne ki koshis
kaun karega.
kya yeh pati ki zimmedaari nahi banti thi.
kya kaalendri chanak yeh zimmedaari nahi banti thi ki wo patni ko samay dete, patni
ke manubhaavon ko samayne ki koshis karte, uska bhi samajhik bistaar karte taaki iss
smrit mein jo awsaad vyapt hai, jis dukh ke pahaad ko akeli woh dhoti dhoti dhoti chali
aa rahi hai usmein thodi se sithilta aa pati, thodi si woh bhi samajh se jhul karke unho
dukhon se kuch had tak mukt ho pati.
to yeh kahani ki jo prist bhoomi hai, yeh hi vaatavan ko nirmit karte hai, yeh hi sambhaat
ko nirmit karte hai, aur yeh hi tarah tah ke saro kaar se jhule prasno ko bhi paida
karte hai.
ab iss ke saath ab dekhe, iss kahani ka jo sambhaat hai, us par jara se hum baat karte
hai sidhe, kyunki iss kahani mein yeh bahut mahatpun hai, ki iss kahani mein ghatnaon
ki neunta, isthitiyon ki gatihinita, evang paatraon ke bikaas ki sambhaavnaon ka abhaav
jayanendra ke roop paksh ko nirmit karte hai, jo kahani mein ispoorti, utsaha aur aasa
jaysi sakaraatmak isthitiyon ko ubhar nahi deta.
lekhak vyakt ki manah isthitiyon ke jariye samajik vidambanaon aur pakhand ka bahut saandaar
aur rochakta ke saath udghaatan bhi karte hain, aur iss prakriya mein paatra ke antarodandon
ko aamne saamne rakkar kahani ko khud apni yaatra tay karne ka ausar bhi dete hain.
Iss kahani mein jayanendra ji, pati patni ki jo do birodhi charitya wali isthitiyaan
hain unko uss roop pe nahi dekhte, balki unki sambhaadh hinita ke bheetar se nikalne
wale phus phusati si aawaazon ke madhyam se unke maansik nirmit ko udghaatit bhi karte
chalte hain.
sunanda apne jeevan ki yaantrik bhaav se jeeti hi hai, jisse yeh pata nahi chalta
ke uske bheetar ki uth rahi halchalon ki kya uchai hai, ya paathak hi tay karta hai
ki sunanda ki halchalon ko dekhne wa samjhne ke liye uski jeevan isthitiyon se gujre, jisse
dabhi aawaaz ke bheetar uth rahi sisakiyon ke swar ko suna jaa sake.
Iss roop mein aap dekhenge kis kahani mein sambhaadh ke do astar hain, aur jaisa ki
maini kaha ki inn do astar mein ek to aatma sambhaadh hai, aur doosra hai par sambhaadh
hai.
aatma sambhaadh ke antargat sunanda khud se sambhaadh karte hai, aur par sambhaadh ke
antargat wah pat se sambhaadh karte hai, jo bahut nahi hota, iss par sambhaadh se jo
pat se sambhaadh ki jo gati hinta hai, wah sunanda ke halchalon ka pata nahi deti, jabki
wah jo khud se sambhaadh karte hai, usse uske poore maansik gathan ka pata chalta hai.
asal mein iss kahani mein sunanda ke soshte rehne mein jaisa vikas hota hai, wo bahut
mahatta poorn hai, aur issi vikas ke bheetar bahut saandaar tarike se uske antar jagat
ka udghatan bhi hota rahata hai.
uske charitrik jo antardwand iss kahani mein dikhai dete hain, asal mein wah issi ke
sochne mein hi spastat hote jate hain, jara kahani ke aarah mein hi sochne ka yahdas se
dekhen kitna maarvik hai, kot hai yeh kahani ka usse sunen, sahar ke ek aur tiraskit makaan
doosra talla, wahan chowk mein ek istri angeethi saamne liye baithi hai, angeethi ki aag raakh
hui ja rahi hai, wah jaane kya soch rahi hai, ab iss par jo anukot, wah jaane kya soch
rahi hai, iss vaapke par jainendra sahab ka bahut joor hai, iss jaane kya soch rahi hai
naamak vaapke mein bahut kuch ke sochne ka de sanket bhi karte hai, iss sochne ko bhi
jainendra ji ek jigarh likhte hai, nahi sochti kaha hai, alas bhaav se wah to mahaj baithi
hui hai, issi alas bhaav se baithi wah pati kaalindi ke aane ka intajar karte hai, kyunki
ek bhaj gaya hai aur weh nahi aaye hai, uske chinta unke khaane ki hai, aur unhe beparwahi
se bachane ki bhi hai, weh apne doston ke saath aate bhi toh hai, lekin uska dhyaan
nahi dete, khaane ki bhi chinta nahi karte, kewal baatein karte hai, sunanda se issi beech
mitron ke khaane ki baat jab kaalindi karte hain, tab woh ansuna kar deti hai, kyunki
weh chhama bhaav se bol rahe hain, aur sunanda nahi chahati ki woh chhama bhaav se bole,
uske aatma sambhaat se bahut kuch prakat hota hai, jo padiwaar ke taane baane ki jatilta
ka pata deta hai, iss ausar par sunanda ke saath kaalindi charan ka jo sambhaat hai,
toh vatavan ko aur bhi tanavpun banata hai, us sambhaat ko jara sune, sunanda choon ki
thali aur chakla belan aur batlohi waigarah khaali bartan uthakar chaldi, kuch bhi nahi
boli, kaalindi ne kaha, sunti ho, teen aadmi mere saath aur hain, khaana ban sake toh kaho,
nahi toh itne mein hi kaam chal jayega, sunanda kuch nahi boli, uske mann mein behat gussa
tha, ve usse chhama prarthi se kyon baat kar rahe hain, haskar kyon nahi kah dete,
ki kuch khaana aur bana do, jaise mein koi gair hoon, achi baat hai, toh mein bhi gulam
nahi hoon, ki inke hi kaam mein lagi rahoon, main kuch nahi jaanti khaana bana, aur vat
chup rahi, kaalindi charan ne jora jor se kaha, sunanda, sunanda ke jee mein aisa hua,
ki haath ke batlohi ko khoob jor se pheng de, kisi ka gussa sahne ke lua nahi hai, usse
tanik bhi sudhra rahi, ki abhi baithe baithe, inhi apne pati ke baare mein kaise preet ki
aur bhalai ki baatein soch rahi thi, iss waqt bheetar bheetar hua gussa se ghut rahi thi,
kyon bol bhi nahi sakti tum, sunanda tab bhi nahi boli, toh achi baat hai, khaana koi
bhi nahi khaayega, yaha kahkar kaalindi tayas mein paayar patakte huye lot kar chale gaye,
ab aap dekhiye ki iss sambhaat ke bheetar se jo poora ke poora vatawan ki yantrana daayik
sthatiyaan hai, kaise spasht hoti hai, sunanda ke antar jagat mein uth rahi halchalein ek
doosre ko kaise kaatti hain, jaise patthar paani ko kaatta hai, ek taraf uska patthar
jaisa kathor dil hai, aur doosri taraf paani jaisa mulaayam aur sukomal, aur doro ke sthition
ke beech mein jaise yeh kahti hai ki hum kuch nahi karenge, hum koi sunne ke liye thodi
hain, hum koi gair thodi hain, aur phir woh khud hi apne par anusasan aur neyantran karte
hai, aur neyantran karte huye woh soshti hai ki bhala yeh sab bhi main kyon soch rahi ho,
arthaat jaynand us parivaar ke bheetar, parivaar ki chaah diwaari mein, kaid istri mein, ke
swar ko bhaasa de rahe hain, dene ke koshis kar rahe hain, lekin saamajik isthatiyan abhi
utni ankool nahi hain, isliye woh krant ki baat bhi nahi kar sakte, ki istri aachanak
vidroh kar wehti, usse to dheere dheere hona tha, aur aap sab jaante hain ki jaynandar
ki yeh sunanda, ab woh bahut mukhar hai, aajadi ke baad, jis istri vivars ki baatein
uthi, hindi sahitya mein jo istriyaan aur hindi sansaar mein, istriyo ne jis tarah se
pravesh paaya hai, sikhsha se lekar ke, takneek se lekar ke, praudyogi se lekar ke, chikitsa
se lekar ke, har chhetro mein jaisi unho dakhal diye hai, woh sunanda ab samajdaar ho gayi
hai, aur badi ho gayi hai, aur wo kisi ki sunegi nahi, kam se kam apni baat to kahne
ki istitme aa gayi hai, lekin jaynandar ki sunanda ke paas yeh vikalp nahi tha, kyonki
desh paraadheen tha, usse abhi bahut aage ki yatra karne thi, isliye yeh kahani ki jo
vishwasaniyata wo yeh hi hai, kalpana kariye ki jaynandar is charita ko aisa gadh dete,
ki krant kar rahi hai, aur laathi le kar ke woh nikal gayi raste mein, aur kahag nahi
main nahi suno ki woh ghar chod ke bhaag jaungi, to sayad yeh kahani itni vishwasaniyat nahi
ho baati, kyonki samay se aage kahani ko jaana to chahiye, lekin samay bhi to usme
dikhna chahiye, aur jo samaj tha, wo purush varchasv ka samaj tha, samantvadi samaj tha,
aur samantvadi samaj mein aap jaante hi hai, ki jo funeral society mein sabse zyade sikar
to istri hi hoti hai, aur wo istri chahe savarn ho, chahe avarn istri ho, chahe jis
varn ki istri ho, phalki jo nimna varn ki istri hai, woh dohre sthar pa sohsit hoti
hai, ek to ghar ke bheetar apne purush darp ke kaan se, aur doosre jaati bewastha ke kaan
se, woh to dohre sthar pa sohsit hoti hai, to sunanda ke baare mein kaha hai, ki istri
sambhrant kul ki sankit uspast hai, ki koi gayar sambhrant kul ki istri nahi hai, jisse
aap sambhrant kahte hain, jisse aap sampand kahte hain, jisse sosakshit kahte hain, us
parivaar kyu aati hai, lagin jab sambhrant kul ki istri 20-22 saal mein churhe ki aag
ko raak hote dekh rahi hai, to aap sochiye gayar sambhrant kul ki istri ho ki kya halaat
rahe honge, jaynandra ki yeh kahaani, is roop mein bahut hi antar rast sampand kahaani
hai, aur iska jisse main aapke saamne ek lamba sambhaar jo padha, wo sambhaar yehi
batata hai ki sunanda bahut dwand mein hai, aur antatah pati ke paksh mein hi samarthan
deti hai, aur usse yehi lagta hai ki pati khush rahen, inka khush hona jaroori hai,
kyon, kyunki aarthik morche par woh kamzor hai, woh koi nirnaya phir leh nahi sakte,
woh saara dukh uske bheetar hi, apne saare dukh ke pahad ko bheetar pikhlaane ke liye
hi sutantra hai, baahar vyakt karne ki aazadi abhi uske paas nahi thi, aur yehi wajah hai
ki woh saare dukh ke pahad ko khud nigal jana chahati hai, aur jab pati mahoday saamne
prakat hote hain, to hasti khikhilaati, khush hoti aati hai, jaise uske bheetar koi dukh
ho hi nahi, lekin woh chahati hai, ki pati uske antar jagat mein jhaake, woh dekhne ki
koshis karein ki uske bheetar chal kya raha hai, aur yehi kahani mein sanket hai, yeh
koi vibey baat main aapse nahi kah raha hoon, yeh kahani batati hai, jab woh kahati hai
ki tanik ek baar musse poosh to lete, ki tum khai ke nahi khai, main santust ho jati
hai, to unhone yeh bhi nahi poosha, to yeh bahut hi maarvik baat hai, ab aage badhate
hain, iss roop mein aap dekhen, ki iss kahani ke sambhaaj mein sunanda ne pati se sirf
ek baar kuch kaha, jo ki khud bhi merochak hai, woh keul antar mein yehi kahti hai, ek
hi vaake bolti hai, ki khaoge nahi, ek to bach gaya, ab sochiye uske chinta mein pati
ki kitni badi jagah hai, ki khaoge nahi, ek to bach gaya, yeh vaak usne itne pyaar se
bola tha, ki kaalindi ko nuruttar hona hi tha, ek yaha bhi jainendra ne kaalindi ko
yeh kahkar kamjor kar diya hai, ki unhone bina yeh jaane, ki khaani ki kya istati hai,
sunanda se pooch liya, khaana aur hai, jis par sunanda se le jane ki baat ki, kaalindi
uddhan hai, kaalindi aakar sunanda se bola, yeh tumse kisne kaha tha ki khaana waha le
hai, maine kya kaha tha, sunanda kuch nahi boli, chalo uthakar lao thali, hume kisi kaha
nahi khaana khaana hai, hum hotel jaayenge, sunanda nahi boli, kaalindi kuch der gung
khada tha, tarah tarah ki baatein uske mann mein aur kanthe mein aa rahi thi, usse yeh
baat apmaan ki tarah malo hoyi, aur apmaan usse asayi tha, usne kaha sunti nahi ho ki
koi kuch kaha raha hai, sunanda ne aur mooh phair liya, kya mein bakte rehne ke liye
hoon, sunanda bhitar bhitar ghut gayi, main pooshta hoon ki jab mein kaha gaya tha, tab
khaana le jaani kya jarud thi, sunanda ne mud karo, apne ko dawa kar dheera se kaha,
khao ki nahi, ek toh baj gaya, kaalindi nirashtra hone laga, yeh usse bura malum hua, usne
malo dhamki ke saath poochha, khaana aur hai, sunanda ne dheera se kaha, aachar lete
jao, khaana aur nahi hai, achha lao aachar, sunanda ne aachar la diya, jisse lekar kaalindi
chala gaya, ab isme spast hai ki kaalindi ko lajja bhi nahi aati, aur aachar maang kar
ki khud ko bijida ki bhoon kaam ho liya aata hai, jai ki usse aisa nahi karna chahiye
sunanda is poore sambhaat ke bhitar ek apsos ki tarah bhi apni upasthiti ko darj karti
hai, lekin yeh sambhaat asal mein sunanda ke mann ki tamam uske guthiyon ko vivekta karne
ke liye paryaapt hota hai, is sambhaat ki madhyam se jai nendra uske ek istri ke mann
me jhankane ki koshis bhi karte hai, aur asal mein is kahaani ki yahi silp ghat viseshta
kaafi hai, samaaj mann ki halchalon ko bahuton ne dekha hai, lekin vekti mann ki halchalon
ko saad jai nendra ne pahali baar dekha hai, is kahaani mein asal mein kaalindi aur mitron
ki beech jo sambhaat hain, aur unke liye sunanda ke darwaze nahi khule hain, udahan ke liye
kranti aur aatang ke madhyam se jis bharat mata ko elak mukt karwana chahate hain, uska
ek uttar jai nendra sunanda ki sthipadi mein dete hain, utsah uske liye aaparchit hain,
isi tarah khaane ko lekar bhi mitron ke beech ki jo sambhaat hain, wo andatah sunanda ke
charitra ko hi vistar dete hain, aur kaalindi ko chhota karte hain.
To yaha dekhen ek sambhaat ko rochak banane ki prakriya mein, jai nendra ne ek vaak jo
likha hain ki utsah uske liye aaparchit hain, kyon aaparchit uske liye utsah hain, kyon
nahi wo poore bivars mein utsahi sambhaat mein sahbhagita karne ki chhut usse bhi prapt
hain, kyon saikno sawaal, saikno baar usse puchhe jaate hain, dekhi sunanda jo jalati
nahin, dekhin ek baar agar wo kharab se jawab dete deti hain, to purus naam ka praani, kaalindi,
hil jaata hain, kyon, kyon ki wo sunane ke liye tayaar hi nahi hain, kya pati patni
ke rishton mein patni hi sunane ke liye majboor hain, pati ko nahi sunana chahiye, jai nendra
yaha sawaal khada karte hain, aur batate hain ki pati patni parivaar ke do pahiye hain, jo
ki bharti samaj ki jo sandrachana hain, isko bhi Mahadevi Verma ne aage chal karke shrinkhla
ki kadhiyan jo 1942 mein hum likhi usme vistaar se ispar baat kiya hain, ki pat patni ke rishte
kaise hona chahiye, kisi krant ki baat nahi hoti, sahchar aur saanidh ki baat hoti hain,
unhe sambhaad dharmi hona chahiye, ek doosre ko samjhane ki koshis karne chahiye, yeh
kahaani yehi batati hain, ki ladne jhagadne ki baati nahi, ek doosre ko samjhane koshis
karne chahiye, ek doosre ki jarooraton ko samjhe bagayar, yeh jo grihastha jeevan hain
wo chal nahi sakta, kyunki dono ka atiwaad parivaar ko kahi nahi le jaayega, dono ka
atiwaad parivaar ko tod dega, aur parivaar ki ikai jab tootegi, to dhirah dhirah samaj
bhi tootega, isi naate aap sab jaante hain, ki jo nahi pehdi ke naujawaan hain, jo padh
lik karke IITs ke maadhyam se, medical ke maadhyam se, khoop paisa rupiah kamate hain,
bade-bade multi-national companyon mein kaam karte hain, billions unke paas kamayi hoti
hai, aur wo bides chale jaate hain, aur aap dekhenge ki apne nahi buzurgon ka khyal karte
hain, nahi apne parivaar khyal karte hain, wo alag mudda hain, lekin kam se kam daampatya,
snidh daampatya jeevan ki badi chinta unke paas rahti hain, wo agar bides ki bhoom mein
bhi hain, swades se bahut door hain, agar daampatya sahaj daampatya sneh unko praapt
hai, toh apne ekaant mein bhi dukhi nahi honge, aur apne awasad se kinchit ve mukt rahenge,
lekin kalpana kariye ki sudur baitha hua vaikti, pati-patni ke sambandhon mein agar tanau
aa gaya, jo hazaaron mil door yahan se baitha hua hai, toh sawal kya hoga, aur isiliye dikhiye
ki, yeh badhte huye tanau mein, paschim mein parivaar abh bikharne suru ho gaye hain,
bharatiye parivaar abhi badhe huye hain, apne sanskaaron ki door se, apne sambandhon ki
door se, lekin paschim mein parivaar ka jaisa bikhtan ho raha hai, yaani sanyukta parivaar
toh Hindustan mein bhi toot gaye hain, bharat mein toot gaye hain, puri duniya mein toot
rahe hain, ab toh nuclear family ke concept aa gaya hain, lekin nuclear family mein bhi
paschim mein bahut zyade sankat aa gaya hain, bahut zyade, kyunki mahatba ka, pahle toh
sambandh nahi tha, ab mahatba ka angsha bahut high ho gayi hai, ab dono ke mahatba
ka angsha bahut high ho gayi hai, toh in sab cheezon ko lekar ke, yaha kahani, ek santulan
banati hai, yaha kahani, aisa bhi nahi kahati ki, sunanda aur karni chalon ko, ab dono
ko ati mahatba ka angshi ho jana chahiye ki, dono kar ati mahatba ka angshi ho jayenge,
toh bhi tanau badhega, dono ko sahachar ho na chahiye, dono ko sahbhagi ho na chahiye,
ab dono ko ek dusre ki jarurton ko samjhana chahiye, toh is kahani ki jo prasangikta hai,
is ki jo marmitta hai, is ki jo hardikta hai, wo yehi hai, aur isi naate, is vyakhyan
ko maine chuna, taaki nai pehi, ya jo growing age ke bachche hain, wo is baat ko samjh sake
ki, unki virasat hi, is tarah ki hai, unke paas ye sab likha hua hai, parivaar ke baare
mein, samajh ke baare mein, unhe zarur adhan karna chahiye, aur uske hisaap se, apne manobhaon
ko bahuti sundar, saarthak, aur sahbhagi banane ki koshis karni chahiye.
Ab is arth mein, ab thoda is bhaasa ke baare mein dekh lete hain, dikhe, is kahani ke sambhaad
ke bheetar hi, bhaasa ki prasnakulta dikhai deti hai, yaani prasnaatmak bhaasa, is kahani
ka pranatattva hai, jo parivesh ko bahut ghana kar deti hai, aur yeh sunanda ke bheetari
sanghars aur bahari samarpan ko bakhubhi ispast karne mein saksham bhi hoti hai, aur
asal mein, yeh is bhaasa ki khubsoorti hai, jo tanav janne anek istithiyon ko ispast karti
hui, aage bahati hai. Aaram mein, bhaasa ka tanav to aapko mene bata hi diya, jab wo
kahte hain ki sahar ke ek aur tiraskit makaan. Ab is, is mein dekhi, is bhaasa mein, tiraskit
mein, angeethi, dubli patti jaise sabdon se lekhak sunanda ki halat ka sanket karta hai.
Aage ka raakh hona apne aap mein bahut benjak hai, yeh sunanda ke sunsaan jeevan ko bhi
batata hai, aur pati ki, patni ki bhimukhta ko bhi batata hai, kyonki pati, patni ke samasyaon
se poori tarah aparchit hai, aur isliye, woh kahani mein, jaise baar baar kahate hain,
ki uske liye, josh ka kaan samajh ho nahi aata, utsah uske liye aparchit hai. Ab is
bhaasa mein, ino re poore kathanakon jainendra ne, jo swar diya hai, woh bahut hi maar mikh
hai. Ispast hai ki, is kahani ki bhaasa mein, ek hataas aur niraas aurat ki bhaasa hai,
jo pati paraan hone ke liye abhisapta hai. Purush uski zindagi ka ek bada sampurna hissa
gher chuka hai, jisse woh baahar to aana chahati hai, lakin sambho nahi hota. Pati ki chinta,
usse biparit isthiti mein bhi apne daaiton ka bodh karvati hai, aur pati ke prati samarpan
ko bivas karti hai. Woh jis bhaasa mein sochti hai, asar mein, ussi bhaasa mein, woh bipatti
mein jeevan jee bhi sakti hai. Toh is sab dekhen ki, is tarah se, is kahani ki jo bhaasa hai,
bahut hi taarkik aur vishle sanatmak bhi hai. Khaaskar unh jagon par, jab mitron ke saath
kaalindi, kranti aur aatank par vichar karte hain, aur kaalindi, jo pahle aatank ke viroj
mein bolte hain, aur uske baad patni ke jhatka dete hi, aatank ke paksh mein samarthan dene
lagte hain. Toh yeh sab cheeje hain, jo is poore kahani ki bhaasa ko, is smrit garbhi
banati hain, jo ghari saanketikta liye vi hai. Aur is smrit garbhit hone ka matlab yeh
hai, ki kahani ki bhaasa bahut hi saanketik hai, aur arth bahul hai. Toh is roop mein
aap dekhenge, ki Jayanendra ki jo isthati hai, woh bahut hi is kahani mein, bahut hi
spast hai. Is kahani ke, jab jahan tak prabhav ki baat hai, toh yeh kahani apne prabhav
tattv mein bahut hi saandaar hai, aur woh baar baar suninda ki mano malin se jhul karke
suninda ke samarthan mein aawaz deti hui kahani hai. Woh suninda ke paksh mein pakshdhar
kahani hai. Suninda ke saath khadi hoti kahani hai. Aur is roop mein, agar aap ka sakte hain,
ki jab istri bimaar se nahi tha, tab istri ke astittu ko uske asmita ki sinakhth karti
hui yeh kahani hai. Aur iska matlab yeh, mat samajhiye ki usne bidroh nahi kiya hai,
toh kaise istri asmita ki kahani ho sakti. Nahi. Uske beech mein, uske mann mein, bidroh
ka saathat aankurna hota hai. Lekon istri bimaar se nahi tha, tab istri ke astittu
ko uske asmita ki sinakhth karti hui yeh kahani hai. Aur iska matlab yeh, mat samajhiye
ki istri bidroh nahi kiya hai. Nahi. Uske beech mein, uske mann mein, bidroh ka saathat
aankurna hota hai. Lekon samajhik aur netik bandhanon mein, woh thodi sithil hai. Lekin
Jayantra ne kahi jagah aisa sanket chhoda hai. Wahi sanket hai, jo bahut hi ardh wahul
hai, sanketik hai, aur bahut hi gahari layatmakta ke saath kahani mein darj hua hai. Mai samasta
hu ki, is kahani ko sunne ke padhne ke baad, Kaalindi charan naam ka purush thoda down
hoga, thoda apni jatilta mein thoda kam hoga, aur sunanda bhi apni samarpan mein thodi
kam hogi. Arthaat, sunanda ka dukh door hoga, aur Kaalindi ka jo varchaswa ki bhavna hai,
usme thodi kami aayegi. Agar aisa hua, jaisa ki hona chahiye, aur hoga hi hoga, aur ho
raha hai, to mujhe lagta hai ki yaha kahani saarthak hogi, charitarth hogi, aur hamari
liye bahut hi prasangik kahani hogi, kyuki jis ek samajh se yaha kahani dikshit hoti
hai, aur usi samajh ko doosre samayh mein badalne ki koshis karti hai. To kahani ki
yahi saarthakta, yahi prabhav hai, ki ek samajh se wo srot gahan karti hai, lekin doosre
mein us samajh ko parishkit karte hui, naye samajh ka sanket deti hai, aur naye samajh
ke nirvaan ke swapna dekhti hai. Is roop mein yaha kahani swapnadarsi kahani hai, aur
yahi is kahani ki charitarthata hai. Aapne suna, bahut bahut dhanyawaad.
Thank you.
