Lecture 19 : Nan nin imasu ka?

IIT Kanpur July 201
20 followers
1 Video View·Dec 1, 2023
Minna-san, konnichiwa, namaskar, aaj ki hamari japani bhasha ek parichay ki is class me aap
sabka bohot-bohot swagat hai, un logon ka bhi swagat hai jo log aaj pehli baar aa rahe
hai yaha pe, aap sabka bhi hardik abhinandan aur asha karte hain ki is class se aap sabko
bohot fayada hoga, ham log apni pichli class me ari mask kar rahe the, waha par hamne
wa aur ni ka prayog karte hue bataya ki kaise kisi vastu ko ham darsha sakte hain, kisi
vastu ki maujoodgi ke baare me ham bata sakte hain, upasthiti ke baare me bata sakte hain,
to aaj ham usi ko aage badhaenge aur ham kisi animate cheez ke baare me uski maujoodgi
ke baare me aapko bataenge, to dekhiye, dekhte hain aaj hamare paas naya kya hai, iske alawa
nan nin imasuka, to aaj ham log imas karenge lekin jaisa ki ham log har baar karte hain
kuch bhi karne se pehle ham audio sunte hain, to aaye sabse pehle audio sunte hain, sumimasen
Rao san wa doko desu ka? Rao san wa nikai no kaegishitsu ni imasu. Tanaka sensei mo kaegishitsu
ni imasu ka? Iie, sensei wa jikkenshitsu ni imasu. Sumimasen, jikkenshitsu wa doko desu
ka? Jikkenshitsu wa elevator no mae ni arimasu. Arigatou.
Abhi aapne audio suna, usko ham ek baar aapke liye padh bhi dete hain, usme kuch nai cheeze
hain, kuch aapne kari hain, Meera aur Arun ke beech me kaiva hai. Meera san to Arun san
no kaiva desu. Sumimasen, Rao san wa doko desu ka? Doko aap kar chuke hain, yaani ki
kaha? Rao san wa kaegishitsu ni imasu. Ni aur wa. To jo aapka topic hai, uske baad wa
lagta hai. Aisa aapko pata hai, aapne kiya hai. Rao san wa place. Ye jagah hai kaegishitsu.
Place ni imasu. Rao san place me maujood hain. Imasu ka arth hai, upasthiti, maujoodgi, dikhana
kisi vyakti ki. To, Tanaka sensei mo kaegishitsu ni imasu ka? Tanaka sensei bhi, ye bhi aap
kar chuke hain pehle particle aur phir se place aagai. Iye, sensei wa jikken shitsu
ni imasu. Kyunki sensei hain, isliye imasu hai. Agar yaha par inanimate hota kuch, jese
ki hon hai, to hon wa tsukue no ue ni arimasu hota hai. To yaha par imasu hain sensei ke
liye. Sumimasen, kaegishitsu wa doko desu ka? Unone dubara se sawal kiya ki, kaegishitsu
kaha par hai? Doko desu ka? Yaha par doko ni arimasu ka bhi kaha ja sakta hai. To kaegishitsu
wa erbeta no mae ni arimasu. Dekhe, jawab me ni arimasu hai. Yaha kaegishitsu wa soko
desu. Ye bhi kaha ja sakta tha. Soko desu. Waha par hai. Erbeta hua elevator. No mae
ni aap kar chuke hain. To ye ek chota sa kaiba hai. Ant me mira kehte hai arigato. Kyunki
ye informal hai. Isliye arigato bhi kaha ja sakta hai. Domo bhi kaha ja sakta hai. Domo
arigato bhi kaha ja sakta hai. Har prakaar se aap dhanyawad kar sakte hain. Ye japani
script me hai. Yaha par kaegishitsu, jikenshitsu, nikai, tanaka sensei sabki kanji likhi hai.
Ye dekhe erbeta katakana me hai. Rao bhi katakana me hai. Baaki hiragana hai. To teeno ko mila
kar likha jaata hai. Yaha par aapki subhida ke liye space di hui hai. Jaisa ki angrezi
me ya hindi me hota hai. Ek baar aapko pehle bhi bata chuke hain ki dekhe jab hum angrezi
likhte hain to space hoti hai. Humari aadat hai space dalne ki. Jab hindi likhte hain
to hum upar lakir dal dete hain. Hume pata chal jaata hai ki ye shabd hai. Uske baad
space dete hain. Lekin japani me jab hum likhte hain to hum koi space nahi dete hain. Lekin
yaha aapki subhida ke liye space di gayi hai. Dheere dheere hum space bhi hatate chale jaayenge.
Ye hindi me uska arth hai. Aap padh sakte hain. To abhi aapne kiya imas. Aur pishli baar aapne
kiya tha arimasu. Hon wa soko ni, yaani ki hon ki wajah se arimasu hai aur ni jagah ke liye
hai. Aaj aap kar rahe hain tanaka saan. Tanaka saan wa soko ni imas. To animate ke liye hamesha
imas hoga aur inanimate ke liye hamesha arimasu ka prayog kiya jaayega. Place ke liye ni dikhaya
jaata hai. Kewal itna hi farag hai arimasu aur imas mein. Aap hon wa soko dis. Jaisa humne abhi
bataya aapko wo bhi kah sakte hain. Wo bhi sahi hai. Tanaka saan wa soko dis. Ye bhi sahi hai
tanaka saan waha hai. Ab aap abhyaas kariye thoda sa aur dekhiye ki aap sahi prakaar se
prayog kar pate hai ya nahi. Ek table hai. Table ke niche kuch betha hai. Ek dog betha hai. Inu
hai. To inu wa tsuku eno shitaani imas. Inu ki ye kanji hai. Bahut hi simple kanji hai. Isliye
kanji yaha di gayi hai. Ye kanji hai aapne pehle kari hai. Dekhiye ye kanji kya hai? Ye hito ki
kanji hai. Ye kanji kaunsi hai? Ye dai ki kanji hai. Dai gaku mein jo dai lagta hai. Wo kanji hai
aur waise iska arth hai oki yaane ki bada. To isme agar hum chota sa yaha ek dot laga den to ye
inu ban jata hai. Isliye yaha pe ye kanji di gayi hai aapke liye. Aap isko padh sakte hain. To
inu wa doko desu ka? Inu wa tsuku eno shitaani imas. Neko wa doko desu ka? Neko wa tsuku eno ue
ni imas. Ye keval imas ki practice hai yaha par. Uska abhyas hai. Isko zor zor se bolke
abhyas kariye. Ab ye bataye. Neko wa doko desu ka? Neko wa isu no ushiro ni imas.
Ushiro yaani ki piche. Ye bhi aap kar chuke hai. Aur ek aur hai aapke liye. Dubara se neko hai.
Neko wa doko desu ka? Neko wa hako no nakani imas. Hako dabba. To iska abhyas kariye.
Ek tasvir hai yaha pe aur aur abhyas hai. Ek sensei hai padha rahe hai. To ab ye sab log
kaha hai? Mina san wa doko desu ka? Mina san wa kyoushitsu no nakani imas. Yaha par aap
no naka hata bhi sakte hain. Arth me koi farak nahi aayega. Mina san wa kyoushitsu ni imas. Ye bhi
sahi hai. Sensei wa doko desu ka? Sensei wa kokuban no mae ni imas. Agar aap yaha pe no mae
hata denge. Ye hata denge yaha se. Kokuban ni imas. Yaani ki kokuban ke andar hai. To yaha
par lagana zaruri hai. Sensei wa gakusei no mae ni imas. Sensei gakusei ke saamne hai. Kokuban
ke saamne hai. To is prakaar se ye jo aapne nai words seekhe hai. Nai shabd seekhe hai. Jine
hum angrezi mein prepositions ki tariqe se use karte hain. Unka aap prayog kariye aur vaakya
bana karke abhyaas kariye. Aapke le aur bhi abhyaas hai. Isme imas aur arimas dono hai.
To dekhiye. Denwa wa doko desu ka? Ab isme kya prayog kiya jaayega? Arimas ya imas? Pataye.
Bilkul denwa wa tsukue no ue ni arimas. Imas nahi lagega yaha pe. Hisho wa doko ni imas ka?
Hisho yaani ki secretary. Tanaka saan ye baithe. Tanaka saan ki secretary hai.
To hisho wa doko ni imas ka? Hisho wa Tanaka saan no migi ni imas.
Yaani ki dahini taraf hai. Honda saan wa Tanaka saan no ushiro ni imas. Ye unke piche baithi hai.
Isliye yaha pe hai. Ye dahini aur baithi hai. Isliye migi ni imas. To aap is prakaar se
exactly kaun kahan par hai usko aap bata sakte hain. Ye aapne pehle bhi kiya hai. Naun wa
ples ni arimas. Jo aapne pichle chapter me kiya tha. Aaj wahi cheez hai. Naun wa ples ni imas.
Yaani ki inanimate ke liye, non-living ke liye aur animate living ke liye arimas aur imas ka
prayog kiya jaata hai respectively. Ab aap ye bataye ki aap agar kahin par
bahut saare log maujood hai to aap unki ginti kaise karenge. Aapne anne counters kiye hai to
logon ko ginne ke liye ki kitne log kahan maujood hai uske liye nin ka prayog kiya jaata hai.
Number nin se pehle ab dekhiye kaise hai yaha par kitne log hai.
He yaani nan nin imas ka? Saan nin imas. He yaani saan nin imas.
Teen log maujood hai. Hitori, futari, saan nin. To saan nin imas.
Ek sawal ye bhi ho sakta hai ki he yaani otoko no hito wa nan nin desu ka? Hitori desu. Kyonki
Tanaka san akele hai. Otoko no hito, male member. Onna no hito wa nan nin desu ka? Onna no hito wa
futari desu. To istarike se aap logon ko count karte hai. Ab aapke liye ye abhyas hai yaha pe.
Isko zor se ucharan kariye iska aur yaad kariye. Hitori, yaani ki ek bhiyakti, futari,
saan nin. To aap dekhenge ki hitori, futari. Ye dono exceptions hai. Abhi amne aapko bataya
saan nin me count kiya jaata hai logon ko. To hitori aur futari do exceptions hai.
Iske saath kya hai? Yonin. Yonin bhi exception hai. Kyon exception hai aap batayiye zara?
Exception isliye hai kyonki agar chaar dikhana hai to yon hona chahiye. Ichi, ni, saan, yon
poora hona chahiye. Lekin yaha pe yonin hai. To isliye ye bhi ek exception hai. Iski spelling
alag hai. Isliye isko yaad kar dijiye. Gonin, rokunin, nananin. Nananin aur shichinin dono
prayog kiya jaata hai. Hachinin, kyunin, junin. To is prakaar se aap nin laga karke
bata sakte hai ki kitne log maujood hai. Nin se pehle hamesha number lagaya jaayega.
Jaisa ki yaha pe dikhaya hua hai. Ab dekhiye ye tasveer hai. Isme kitne log maujood hai?
Jaldi se batayiye. Do log maujood hai. To nanin imas ka futari imas. Ye jaisa ki aapko
bataya hai exception hai. Aur isme kitne log hai? Ek akeli choti si ladki hai. To hitori
desu. Ek jana hai. Nin ki kanji hai? Nin. Hito ki kanji hai. Ek aur reading aapne aaj
seekhi iski? Nin. Abhi tak aapne is kanji ki reading kariye hai. Hito. Aaj aap kariye
nin. Ek aur is kanji ki reading hai. Ab is tasveer mein kitne log hai? Nanin imas ka?
Hitori, futari, sannin, yonin, gonin. To kitne log hai nanin imas ka? Gonin imas. Isme kitne
log hai? Yonin imas. Ye aapko bataya hai exception hai. Yon mat boliyega. Yon se meaning
clear ho jata hai. Samajhne wale samajh bhi jayenge. Lekin proper iska jo shabd hai wo
hai yonin. Ab bataye. Ek hum aapse sawal kar rahe hai. Minasan shokudoni sannin imas ka?
Bataye kitne log maujood hai is tasveer mein? Iye sannin imasen. Yonin desu. Ek aur tasveer
hai. Isme nanin imas ka? Minasan gin ke bataye kitne log hai? Nanin imas ka? To hitori, futari,
sannin, yonin, gonin. A minasan, shashin ni gonin imas ka? Dekhiye, ek aur chhipe baithe
hai yaha pe roku nin. To nanin imas ka? Shashin ni roku nin imas. Ek aur aapke liye tasveer
hai. Nanin imas ka? Jaldi se bataye. Kyoushitsu ni gakusei wa nannin imas ka? Yaha gakusei wa
nannin desu ka? To hitori, futari, sannin, yonin, gonin, roku nin aur nana nin imas.
Nana nin imas. Ab yaha pe answer aagaya hai. Hachi nin. To hum log ko sawal kya karna chahiye?
Heya no naka ni nanin imas ka? Heya no naka ni hachi nin imas. Kyuki sensei bhi ek jod jayenge.
Ab ye hi ek aapki purani tasveer hai. Jisme Tanaka saan office mein baithe hai.
To yaha pe dai diya hua hai. Ab dai kya hai? Dai bhi ek counter hi hai. Aur kin cheezon ke liye
prayog kiya jata hai. Ye electrical appliances ke liye. Ya bade furniture ke liye. Ya gadiyon ke
liye. In sab cheezon ke liye. Badi machinery ke liye. Is sab ke liye prayog mein aata hai.
To yaha pe kya rakha hai? Ek denwa rakha hai. To denwa wa tsukue no ue ni arimasu. Sawal
bhi hum kar sakte. Denwa wa doko desu ka? Denwa wa tsukue no ue ni arimasu. Aur ab kyuki ye
ek hai khali yaha par denwa. To ichi dai denwa wa tsukue no ue ni arimasu. Ichi. To dai counter
hai. Koi bhi machinery ya badi cheez ko ginne ke liye. Aur ye dhyan me rakhna bohot zaruri hai ki
hamesha counter se pehle aapko number lagana padega. Aur jab aap counter batate hai to jo
cheez aap gin rahe hain wo counter ke baad aayegi. Iska dhyan rakhiyega counter pehle aata
hai aur jo noun hai wo uske baad prayog kiya jaata hai. Jaise ki yonin gakse wa he anonakani
imas. To gakse baad me aaya hai aur counter pehle aata hai. Counter plus noun hota hai.
Is prakaar se aap dai ko yaad kar sakte hain. Dekhe kin kin cheezon ko gina jaa sakta hai. Cycle
hai, gadi hai, electrical appliances hai, furniture hai. Is tarike se badi cheezon ko
ginne me kaam me aata hai. Aap hamare baad bol sakte hain. Ichi dai, ni dai, saan dai, yon dai,
go dai, roku dai, nana dai, hachi dai, kyu dai aur ju dai. To aap dekhenge number ke baad hi
dai ka prayog kiya gaya hai. Isme koi exception nahi hai. Dai ki kanji bhi bahut simple hai. Ye
katakana ka mu hai aur iske niche aap kuchi bana dijiye. Jo aapne kiya hua hai. Bahut aasan
ho jayega. Ab jab aap koi inanimate cheezon ko count karte hain, to jaisa hum log kar chuke
hain, arimasu ka prayog hota hai. Jab animate ka karte hain, to emas hota hai. Ab hum log
yaha par kis cheezon ko count kar rahe hain? Hum neko ko count kar rahe hain. Aur neko ko
count karne ke liye dai nahi hoga. Kyuki dai humne bataya badi koi cheezon ko count karne
ke liye prayog me aata hai. To chote jaanvaron ko count karne ke liye, jaise kutte ke bachche
hain, ya billi ke bachche hain, ya chote jaanvar hain, unko count karne ke liye piki aur biki
ka istamaal kiya jaata hai. Ab ye bahut hi interesting baat hai. Japani me bahut counters
hain. Aur counters yaad bhi karne bahut zaruri hain. Kyuki number batana padta hai. To dheere
dheere hum log ye counters jo hain apne class me karenge. Aur inko yaad karenge aur inka
prayog bhi karenge. To aaj apne abhi nin kiya, apne dai kiya aur iss samay ab hum log chote
jaanvaron ko count karne ka prayas karenge. Wo piki aur biki me haota hai. To dekhiye,
neko wa hako no na kani imas. Ippiki neko wa hako no na kani imas. Piki ki kanji bhi bahut
simple hai. Dekhiye yon se bahut milti julti hai. To ek taraf agar aap usko ban nahi karenge,
to ye ban jayega. To ye piki aur biki ki kanji hai. Lekin aapko ek baat bata de ki ye dhyan
me rakhna bahut zaruri hai. Ki jis prakaar se hum log yahan par kanji karte hain. Ye kanji
seekhne ka tarika nahi hai. Kanji isliye is prakaar se karai ja rahi hai. Jis se ki aapko
interesting lagey aur aap asaani se kanji seekh leyen aur yaad kar leyen. Aapko yaad rahe
wo kanji. To ye baat dhyan rakhiyega. Aapko jaise humne bataya yahan pe ki ye chaar se milta
julta hai. To ye keval aapki suvidha ke liye bataya hai. Ab humare baad aap uchara kar sakte
hai. Ye ek aur hai aapke liye double sound me. Kyu hiki aur jup piki. To ip piki, rop piki,
hap piki, jup piki. Ye double sound ke saath hai. Aur inko isi prakaar se yaad karna padega.
Hiki, ni hiki, nana hiki, kyu hiki, go hiki. Ye hiki ke saath hai. Aur saan ke saath biki
hai. Yon ke saath piki hai. To ye thoda sa confusing bhi hai. Lekin dheere dheere abhyaas
karne ke saath ye yaad bhi ho jayega. Aap jaisa ki hum log har baar karte hai. Kuch kanji
karte hai. Jo lesson me hum padhte hai. To aaj humare paas hai hidari aur migi. Do kanji hai.
Hidari yaani baayen aur migi yaani ki dahine. Kanji ko banane ka tarika bahut simple hai.
To aur ye katakana ka A hai. Aur yahaan par kuchi hai. To ye bana kaise hidari te ke saath
hidari hai aur migi te ke saath migi hai. Isme bahut kuch aisa nahi hai jo aap samajh nahi
paayenge. Bahut hi saadharan hai. Ek aur kanji hai aapke liye. Soto. Soto do katakana
syllables ke saath bana hua hai. Ta aur soto maane bahar. Ye jo pehla wala character hai.
Ye shaam ke liye bhi prayog me aata hai. You. To purane zamane me jo fortune tellers hote the
jo bhaagye batate the wo shaam ko apni chhadi le karke bahar baith jate the aur logon ka bhaagye
batate the. To ye shaam ke liye hai aur ye jo to hai ye chhadi ko depict karta hai. Isliye
soto banta hai. Shaam ko chhadi le karke bahar baithna aur logon ka bhaagye batana. Yahaan se
idea se is concept se ye kanji bani hai aur soto ka arth aata hai.
To dekhiye aapko soto ka prayog karke kuch shabd batate hain. Aapne ye shabd kiye hain.
Aaj uski kanji karte hain. Ta aur to mila karke ek kanji banti hai soto. Iski ek aur reading hai
gai.
Ab yaha pe dekhiye ek aur kanji hai gai koku. Gai koku ke arth aapko pata hai.
Yani ki videsh. Gai mane soto yani ki bahar aur koku mane country ya desh. To bahar ka desh
yaani ki videsh yaani ki gai koku. Ab isi ke saath agar is kanji mein aap yaha hito ki kanji
laga dijiye. To kya banjata hai ye? Banjata hai gai koku jin. Bahar bahar unhi shabdon ko
agar hum repeat karenge kanji bhi aapko yaad ho jayegi. Dekhiye ek aur shabd hai daigaku jin
ryūgakuse. Ryūgakuse kya hai? Ryūgakuse hai foreign student. Aapne dekhiye gakuse kiya
hai. Gakuse mane student. Vata shiva ninen se desu. Vata shiva daigakuse desu. Ye aapne kiya
hua hai. To yaha pe ryūgakuse jo hai foreign student. Aap gai ki kanji kariye. Jisko hum log
abhi jiska abhyas kar rahe hain. Usi ke saath aap kuni ki kanji aapko ek baad phir likte
dete hain. Phir jin hai. Jo aapne yaha kiya hai. Gai koku jin. Aur gai koku jin ryūgakuse.
Gakuse ki aapne kanji pehle bhi kariye hai. Isko dubara se likte dete hain. Aap net pe bhi
jaa karke dekh sakte hain iska stroke order aur yaad kar sakte hain. Ye shabd yaad kar lijiye
naya shabd hai. Phir dekhiye gai koku jin ryūko shā shabd. Wahi hai gai koku jin. Ryūko
naya shabd hai. Ryūko mane ghoomne jaana. Aur shā mane wo vyakti. To ryūko shā yaani ki
tourist. To aap gai koku jin ki kanji kariye. Aur ye ryūko shā naya shabd hai. Usko yaad
kariye. Kanji aap baadne bhi kar sakte hain iski. Aap dekhiye ek aur shabd hai iska kai
gai. Kai dekhiye aise banta hai. Kai ka basic arth kya hai batayiye zara. Kai ka basic arth
hai umi. Yaani ki samudra. Aur jo ye radical yaha pe hai. Jiske baare mein hum log kanji
ke apne lesson mein bhi baat karenge. Ye paani se sambandh rakhta hai. Iske saath lagaya jaata
hai. Aur ek mein jab ye banta hai. 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9. To kai gai. Kai ki reading bhi iski
hai. Yaani ki videsh. Fir dekhiye aap ek aur hai. Kai gai ryūko. Iska ek aur bhi bahut basic
arth banta hai. Umi ke paar. Dekhiye ye samudra hai. Aur samudra ke us paar ka bhi arth hai. To
videsh ho gaya. Fir kai gai ryūko. Yaani ki videsh ghoomne jaana. Ryūko maane abhi aapko
bataya. Ki trip hai, ghoomna hai. To umi ke us paar, samudra ke us paar ghoomne jaana. Yaani ki
videsh jaana. Dekhiye abhi tak hum log gai ki reading kar rahe the is character ke saath.
Ab dekhiye yaha pe reading aagai. Soto. Wapas se. Jo ki iska original arth hai. Aur ye jo
character hai. Ek kuchi ke andar, dusra kuchi. Ye hai mawari. Yaani ki uske around. Uske bahar.
Surrounding area mein. To soto mawari. Isi ke saath hum aapko ek aur kanji de rahe hai.
Ye kis cheez ki kanji hai? Ye hai uchi ki kanji. To uchi mawari shabd hota hai. Ab soto mawari
aur uchi mawari. Dono naye shabd hai. Inka arth doondiye. Ye aapka shukudai hai. Ye aapka
home work hai. Aur isse do vaakya banayiye. Aur agli baar in vaakya ko hum log dekhenge.
Ke aapne sahi banaye hai ya nahi. To ye aapki tamam sari kanji hai. Aaj ka jo kanji ka character
tha. Wo tha. Soto. Uska prayog karke aapko bahut sare naye shabd bataye hai. Baar baar isko
dekhiye. Iska abhyas kariye. Aur aapko shabd bhi yaad ho jayenge. Aur kanji bhi yaad ho jayenge.
Ab aapke liye ek kotowaza hai yahaan par. Bahut prayog mein aata hai. Ek tasveer mein
ek billi hai. Aur yahaan par kuch paise gir rahe hain. Aur ek tasveer mein ye bandar sahab
hai. Aur inke paas kuch adrak rakhiye. To isse aapko kya samajh mein aata hai? Japani
kotowaza aur Hindi kotowaza jo hai. Hindi ka jo muhawara hai. Isse kya samajh mein aata
hai. Dekhiye. Japani mein hai. Nekoni kuban. Agar aap billi ke saamne paisa rakhenge to
usko uska koi moole pata hoga. Koi moole nahi pata hoga uska. To isliye Japani mein kaha
jaata hai ki usse uphaar dijiye jo uska moole samjhe. Usse uphaar dena bekaar hai jo moole
hi na samjhe us baat ka. Yani ki bekaar ki koshish hai, vyarth ka prayas hai. Kisi ko
samjhana koi aisi cheez jo usko samajh mein hi na aaye. Jo uske liye vyarth ho, bekaar
ho. To nekoni kuban. Ye dhyaan rakhiye gaye. Bahut accha muhawara hai. Aur bahut prayog
mein bhi aata hai. Vyakti ko hamesha wahi dena chahiye. Jo usko samajh mein aaye. Jiski
usko jankari ho. Jisko wo appreciate kar sake. Koi bahut moole van vastu agar aap kisi
aise ko dede. Jisko uske moole ke baare mein pata hi naho. To aapka effort jo hai. Aapka
jo mehnat hai, jo prayas hai. Wo bilkul bekaar ho jata hai. Nekoni kuban. Aur aisa bhi kehate
hai Japani mein ki billiya jo hai bahut chamakti hui cheezon ke peechhe bhagti hai. Ya billiya
jo hai aapne dekha hoga tasveeron mein un ka gola ya gend iske peechhe bahut bhagti hai.
Lekin billiya ye nahi jaanti hai ki uska kaam kya hai. Unke liye uska moole koi nahi hai. Bas
khelne ke liye uska prayog karte hai. To isliye hamesha dhyaan rakhiye ki koi bhi kaari jo hai
bina kisi purpose ke, bina kisi goal ke vyarth hoga. Ab aapke liye kuch nai shabd hain. Hidari,
Migi, Kokuban, Koen, Hisho, Kazoku. To ye kuch nai shabd hain jo aapne is baar kiye hain. Inko
apne vaakyon mein prayog kariye aur inse abhyaas kariye. Aur isi ke saath jo hai aapka paath jo hai
yehi khatam hota hai. Aur agli baar hum log kuch naya karenge tab tak aap iska abhyaas kariye.
Zor se uchara karke mitra ke saath apne iska abhyaas kariye aur dekhiye ki aapki japani
kahan tak pohchi. Agli class tak ke liye. Namaskar.
